Aab Ki Intazar Ek

Aab Ki Intazar Ek
Aab Ki Intazar Ek Aadat Si Hogai Hai
Khamoshi Se Ek Caahat Si Hogai Hai

Na Shikwa Na Shikayat Karne Ki Zarurat Hai
Kyun K Is Tanhai Se Abb Mohbbat Si Hogai Hai
  

Jun, 03 2010     164 chars (2 sms)     2508 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

mein jiss mae kadey mein pahuncha khuda khuda kar k,

Nikla wahan sey na kissi sey wafa kar k,

aur apa hee mein dushman ho gaya,

O bewafa ik tujh sey wafa kar k
Rok detey hein shariat k takazey warna
Mei tera ziqer sab se afzal kar don.
Mujhko Khayal hai k..... tu mera Khayal hai...
Aik Markz-e-Khayal...... tera kia Khayal hai?

Aata hai tu Khayal me....... is qadar Khayal se...
Tujh ko mere Khayal ka....... kitna Khayal hai
Main Nay JEE Bhar Kay TujH ko Daikh Liya
TujH Ko ULjHa Kar Kuch Sawaaloon Mien…!!!
Suna Hai...

JungaLo Ka Bi Koyi Dastoor Hota Hai

Suna Hai

Sher Ka Jab Paitt Bhar Jaye

To Wo HamLa Nahi Karta

Suna Hai

Hawa K Taiz Jhonkay Jab Darakhto Ko HiLatay Hain

To Mena Apnay Ghar Ko BhooL Kar

Kawway K Ando Ko Paro Mai Thaam Leti Hai

Suna Hai

GhonsLay Se Jab Koyi Baccha Giray

To Sara JungLe Jaag Jata Hai

Suna Hai

Koyi PuL Toot Jaye Aur SeLaab Aa Jaye

To Kisi Lakri K Takhtay Per

GuLehri, Saanp, Cheeta Aur Bakri Sath Hotay Hain

Suna Hai

JungaLo Ka Bi Koyi Dastoor Hota Hai

KHUDA-e-MUNSIF-o-AKBAR !

Hamaray MuLk Mai Ab JungaLo Ka He Koyi Dastoor Nafiz Kar...
Hajoom Mein Tha Wo Na Ro Saka Hoga
Magar Yakeen Hai Shab Bher Na So Saka Hoga
Wo Shaks Jise Samjhne Mein Mujhe Umar Lagi
Bicher Ke Mujhse Kisi Ka Na Ho Saka Hoga
Hamare Ansoo Pooch Kar Wo Muskurate Hain ..
Esi Ada Se Wo Dil Ko Churate Hain ..
Hath Unka Chu Jaye Hamare Chehre Ko ..
Isi Umeed Main Hum Khud Ko Rulate Hain ..
Aag Dil Me Lagi Jab wo khafa hue
Mehsoos hua Tab,
Jab wo Juda hue

Karke wafa Kuchh DE Na Sake wo
Per Bahut Kuchh De Gaye Jb wo Bewafa hue.
ik aise shakhs se bhi rah o rasam hain apni

ju berukhi se milen aur ajnabi na lageeeee
Ik Khwab Hay Or Isko Khona Bhi Nahi Hay
Tabeer K Dhagay Main Pirona Bhi Nahi Hay

Lipta Howa Hay Dil Se Kisi Raz Ki Soorat
Who Shaks K Jisko Mera Hona Bhi Nahi Hay

Ye Ishq-E- Mohabbat Ki Rivayat Bhi Ajeeb Hay
Paya Nahi Hay Jisko Usay Khona Bhi Nahi Hay

Jis Shaks Ki Khatir Mera Ye Hal Howa Hay
Usko Meray Marnay Pey Rona Bhi Nahi Hay
bicher ker juda tou nahi ho gaye hum
kahin be-wafa tou nahi ho gaye hum

jo milna bhi chahain tou ab mil na payein
youn be-aitnaa tou nahi ho gaye hum

magar phir bhi khilqat hamain poojti hai
agarcha khuda tou nahi ho gaye hum

kharay hain azal se sag-e-reh ki surat
kahin rehnuma tou nahi ho gaye hum

teri yaad aati hai fursat mein aksar
tere mubtila tou nahi ho gaye hum
ager kisi se bichrna itna asaan hota to...

jism se rooh ko leney frishtey kabhi na aatey...