Qadmon mai bhi takaan thi

Qadmon mai bhi takaan thi
Qadmon mai bhi takaan thi, gher bhi qareeb thaa
per kiya karain keh ab kay safar he ajib thaa

niklay agar to chaand dereechay mai ruk bhi jaaey
iss shehar bay-charaagh mai kis ka naseeb thaa

Aandhi nay un ruton ko bhi bay-taaj ker diya
jin ka kabhi huma saa parinda naqeeb thaa

kuchh apnay aap say he usay kash-makash naa thi
mujh mai bhi koi shakhs ussi ka raqeeb thaa

poochha kisi nay mol to hairaan reh gaya
apni nigaah mai koi kitna ghareeb thaa

maqtal say aanay wali hawa ko bhi kab mila
aisa koi dereecha keh jo bay-saleeb thaa...
  

Jun, 02 2010     558 chars (4 sms)     2711 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Is Kadar Hum Yaar Ko Manane Nikle
Uski Chahat Ke Hum Deewane Nikle
Jab Bhi Use Dil Ka Haal Batana Chaha
To Uske Hothon Se Waqt Na Hone Ke Bahane Nikle
Kabhi LaFz BhoL JaoN,
KaBhi BaaT BhoL JaoN,
TuJhe Iss QaDaR ChahOoN Apni ZaaT BhoL JaoN,
uTh KaR Kabhi Jo TeRe Paas Se ChaL Doon,
JaaTe Huwe KhuD Ko TeRe Paas BhoL JaoN..~!
Nazro Ko Nazaaro Ki Kami Nhi Hoti,

Fulo Ko Baharo Ki Kami nhi Hoti.

Fir Q Hme Yaad Karoge Aap,

Aap To Aasman Ho,

Or Asman Ko to Sitaro Ki Kami Nhi Hoti.
Ye Jantay Huye Bhi
K
Wo Hawa Hai Mere Hath Na Aye Ga
Wo Badal Hai Jisay Main Choo Na Paun Ga
Phir Bhi Main Ne
Hawa Ko Pakarna Chaha
Badal Ko Choona Chaha
Apno ko jab apne kho dete hai, Tanhaiyo me wo ro dete hai, Kyu in palko par bithate hai log unko, Jo in palko ko aksar aansuo se bhigo dete hai...
Mumkin nahi shab-o-rooz ka aik hona

chahat teri meri deewangi apni jagah
Mumkin nahi shab-o-rooz ka aik hona

Goo kafi nahi pyarr mai lamhoon ka milan
Hota hai ajaam-e-ulfat roohon ka aik hona

Bikhrey hathon ko samait kyon nahi letey
Mushkil buhat hai Urooj-o-zawaal ka aik hona

Aab bhi yaad atey hain beetey hoye pal
Wo zulfon ka bikhrana or nazron ka aik hona

Aik hi hotey hain aksar rastey humarey
ZAROORI NAHIN MAGER, MANZIL KA IK HONA
Nata torne k bad us ne mange hai daye hue tohfe.

wo sub kuch le gaya sawye yaadon k...
raat chup hai par chand khamosh hai

kaise keh doon k aaj phir hosh nahi

aisa dooba hoon main tumhari aankhon mey

haath mey jam hai par peene ka hosh nahi
Kabi na shikayt ki baat labon pe layenge,

kaha hai Dost to Dosti nibhayge.

kabhi hamari burai hamare samne karna,

kasam khuda ki hum bi apki han me han milayenge.
Jitna pyar paya hai tumse,
usse aur jyada pane ko ji chahata hai,
jane woh kaun si khubi hai tumme,
ki har rishta tum se banane ko ji chahata hai
Marne K Baad Bhi Na Chora Jalaana .....

FARAZZ

Roz Pehenk Jati Thi Phool Sath Wali Kabar Par
Zindgi ka raaz tanhayi me pa liya,

Jiska gum mila apna bana liya.

Humara gum sunne ko jab koi na mila,

Samne rakha aaina or khud ko suna diya.