Mujse mat pooch ki

Mujse mat pooch ki
Mujse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine,

Teri tasveer thi jo tujhse chupa li maine,

Jis pe likha tha ki tu mere muqaddar me nahi,

Apne maathe ki woh tehreer mita li maine ......;->
  

Jun, 03 2010     198 chars (2 sms)     2094 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Ye unki khubiyon ka asar hai,

jo wo itney ache lagte hai,

Jab wo kehte hai ki waada hai mera,

Jhoote wade bi sache lagte hain.
chirag laikar mein dhundata hun wafa kahan hai wafa kahan hai,
Bata dey mujh ko jahan k Malik hai nirkh kitna dukan kahan hai,
mein aisey rehbar k payoon choomoon jo yeh bataye wafa kahan hai,
hai saari duniya hee chakar-e-banwar mein ya sirf mera hee imtihan hai?
~Kisi ne kaha tha kisi se na kehna~

~Lage chot dil pe to Khamosh rehna~

~Jahan chot khana wahin Muskurana~

~Magar is ada se k ro de Zamana.
teri sOOrat

ko dekhnAy

walaY

apni

Ankhon

se

Pyar

karte hAin
Us Se Kehna Hum Mazay Main Hain
Bas Yaadain Bohat Stati Hain
Un Ki Duuri Ka Gham Nahi Mujhe
Bas Zara Aankhain Bheeg Jati Hain
suna hoga bohat tum nay
kahin aankhon ki rim jhim ka
kahin palkon ki shabnam ka
parha hoga bohat tum nay
kahin lahjay ki baarish ka
kahin sagar k ansu ka
magar tum nay kabhi ham dam
kahin dekhay? kahin parhay?
kisi TAHREER k ansu?
mujhay teri JUDAAI nay
yah mairaaj bakhshee hai
k main jo lafz likhta hun
wo saray lafz routay hain
k main jo hurf bunta hun
wo saaray batain kartay hain
meray sang is judaai mein
MERAY ALFAAZ martay hain!
Sawal Tu Hy Jawab Tu Hy

Mohabbato''n Ki Kitaab Tu Hy

Be-sabat Jaha''n k Rung Saray

Meri Nazar Mein Shabaab Tu Hy

Ye Kainaat Hy Jis Se Roshan

Aftab, Taray, Mehtaab Tu Hy

Kabhi Tou HoTa Hy Paas Mere

Kabhi Chamakta Saraab Tu Hy

Phool, Kaliyo''n Ka Khush-Rung Pairhen

Khushbuo''n Ka Hijaab Tu Hy

Tu Meri Khwahish, Tu Meri Hasrat

Meri Aankho''n Ka Khwaab Tu Hy

Nisaab-e-Zindagi Hy Ishq

Meri Zindagi Ka Nisaab Tu Hy ... !!
ye kis mukaAm pe laii hai merii tanhai mujhe

k mujhse Aaj koi badgumaAn nahi hota...!
TanG AA ke hum jo BechAnay niklAy wafa FARAAZ


logon ne phir khaloos ke bhAo gira diye.
Bhichar kar phir milaingay Yakeen kitna tha,

Tha to ik khwab magar haseen kitna tha,

Meray zawal se pehle he wo mujhe chor gia,

Haseen to tha hi magar Zaheen kitna tha.
Kal khud hi apni mehfil se nikala tha

aaj hue se deewaane dhundte hai.

Musafir be-khabar hai teri aankhon se,

tere shahar mei maikhaane dhundte hai
MAIRE CHAROON TARAF ANDHAIRA HA
DAIKHTA HOON MAIN ROOSHNI KI TARAF
TAIRE JAISA JO MIL GIA KOI
LOOT AAOWN GA ZINDGI KI TARAF