Meri doori ka ehsaas

Meri doori ka ehsaas
Meri doori ka ehsaas toh tum ko hoga.....
Magar hoga meri maut ke baad.....
Tadapogi tum bhi meri tarah ek din....
Jab aayegi tum ko meri yaad.....
  

Jun, 05 2010     150 chars (1 sms)     15078 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Sakoon tha jab tak tumhare pas rahe,
phir uske baad jahan bhi rahi udaas rahe.
Tammam raat intzaar me guzri,
tamam raat taroon ke sath rahe.
Uqba main bhi milay gi yehi zindagi *Shakeel*.
Marr kar bhi chuth na paayen gai is dard-e-sarr say hum...
Kiya GHAM hai kia KHUSHI
malum nahi..

w0h APNA hai k AJNABi
malum nahi..


Jis k Baghair ek PAL nahi
guzarta..


Kaise guzre gi ZindaGi
malUm nahi...
Unsay dur janay ka irada na thaHamesha sath rahnay ka b vada na thaWoh yad na karein ge ye jantey thay hmPer itni jaldi bhool jaen gay andaza na tha.
Hum Chup Chap Hain Humay Hergiz Be-Hiss Na Samjho...

Shihdiat-E-Gham Se Bhi Ban Jatay Hain Log Pather Dill.....
Rooth Jane Ki Adaten Na Gai
Dil Jalane Ki Adaten Na Gai

Zakhm Kha Kr B Tujh Se Nam Tera
Gungunane Ki Adaten Na Gai

Pyar Se Jo B Mil Gya Us Ko
Dukh Sunane Ki Adaten Na Gai

Chand Ki, Sharm Se Naqabon Me
Mu''n Chupane Ki Adaten Na Gai

Do Dilon Ko Ujar K Hansna
Ye Zmane Ki Adaten Na Gai

Chand Jesa Hr Ik Hasee''n Chehra
Dil Ko Bhane Ki Adaten Na Gai

Beesiyon Bar Aazma K Hmen
Aazmane Ki Adaten Na Gai

Raat K Pichle Peher Ey Ayaz
Ghr Ko Aane Ki Adaten Na Gai
Bayaan kar un say mera haal-e-dil....¡ Aye 'hawa''

mera dost yeh na samjhay k mujay us ki yaad nahi aati
Hum Se Maiyat Par Teri Aaya Na Gaya
Kaliyon Ka Haar Tumhari Kabr Par Bichaya Na Gaya
Hum Toh Khud Tumhari Kabr Ke Sath The
Isliye Hum Se Apna Chehra Tumhe Dikhaya Na Gaya
Ajab baat hai woh mujh say khafa bhi raha
Woh doston say mera haal poochta bhi raha
Ajeeb rang mein ki us nay guftagu mujh say
Labon pay chup thi nigahon say bolta bhi raha
Dil Jo toot Gaya To Feriyad Kero Ge Tum
Hum Na rahe To Hamain Yaad Kero Ge Tum
Aj To Kehte Ho Waqt Nahi Hai
Phir Ek Din Mere Liye Waqt Se Fariyad Kero Ge Tum
Chalo Is Shaam Koi Or Hi Qissa Sunatey Hain
Chalo Is Shaam Us Ko Hum Sirey Sey Bhool Jatey Hain
Chalo Is Shaam Koi Aney Wala Khawab Buntey Hain
Chalo Is Shaam Hum Kaliyan Nahi Kanton Ko Chuntey Hain
Chalo Is Shaam Jashn-E-Tergi Hans Ker Manain Hum
Chalo Is Shaam Us Ko Phir Sirey Sey Bhool Jyen Hum
Apni Naakami Ka Ek Yeh Bhi Sabeb Hai Faraz,

Cheez Jo Maangtay Hain Sub Say Juda Maangtay Hain!!