Tum lautay ho aaj...

Tum lautay ho aaj...
Tum lautay ho aaj...

To kaii bay-naam aa''nsu...

Apni shanaakht bhool gaey hai''n...

Mujh say bichharr rahay hai''n...

K mujh may koi sakat nahee''n...

Ab rauknay ki in ko...

Pooray jisam ka shaur kuch thham sa gaya hay...

Karb may mubtelaa mairi her saa''ns...

Kuch sukoon ki aahai''n bhar rahi hay...

Janaa''n tum aaj lautay ho...

To pal may kitna kuch badal gaya hay...

Ab rooth k phir na jaana...

K ab aa''nsuo''n ko bhi manaana parrta hay...!
  

Jun, 05 2010     484 chars (4 sms)     2472 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Abhi hai yaad mujhe gham say ashna hona,
tera milna or yun mil ker tera juda hona.

Zenat-e-haar banay gul ki shikayat tu suno,
isko bhata nhi hai shakh say juda hona.

yahi nhi k zamana jalaye is dil ko,
is pe bijli bhi giraye tera khafa hona.

mujeh yaqeen hai tujhko wali bana dega,
tere in Ansouon ka mustakil dua hona.

ye jo tezi say yahan uth rahi hai sachayee,
is jahan ka bara kareeb hai fana hona.

itna milna bhi karachi main thaka deta hai,
tanha rehna hai yahan per taro taza hona.
Us k Kehny Par Us Ki
Tamanna Bhi Chorh Di
Hum Ny

Zara Hum Bhi Tou
Dekhai''n Kon Chahta
Hy Usay Humari Terha !!!
barisho k mosam main yadain jaag jati hain.

k her gari stati hai barishon k mosam main.

koi zahan k johrke main jub sada ubre.

ankhain beagh jati hain barishon k mosam main.
guzarish hai aaj kuch kah lyny do,,
mujhy mairi dunia main jee lyny do,,
brra hi kathen hai ye rasta,,,,,
mujhy mairi rahoon pe chal lyny do,,
brri purfraib hain nigahain ye sari,,
zrra khud ko en se bcha lyny do,,
mairy lafz lafz main zehar bhrra hai,,

brri tallakh dastan hai suna lyny do,,
jo taana bani hai mairi zindagi tou,,
esy b dharknoon main bssa lyny do,,
kabi rakh ban k na bikhron gi hergiz,,
zrra shama ban k tou jal lyny do,,
mairi nazer main khab hain na manzil,,
tanveer chunaaoo kisi ka tou kr lyny do,,
ye dil ka parinda bhi ajab shey he keh jisne,

Pyasa bhi raha dasht se hijrat bhi nahen ki.
aik tera rooth jana se ksi
ko kuch nahi hota
phool b khiltey haan
rang b dhamktey haan
suraj b nikalata hai
raat b ati hai
taray b chamkta haan
lakin itna zaror hota ha
koi hansana bhool jata hai
koi jeena bholl jata hai

sirf TERE ROOTH JANA SE
Tujhko dekha raat bhar chand ne,
or subah tere chehre se milne laga,
ek din aks tera pani me pada,
wo kamal banke ab roz khilne laga.
itni kashish to ho nigah-e-shoq mein.....saqi.....

idher dil mein khayal aaye!udher tumhara deedar ho jaye.!
Us Se Kehna Hum Mazay Main Hain
Bas Yaadain Bohat Stati Hain
Un Ki Duuri Ka Gham Nahi Mujhe
Bas Zara Aankhain Bheeg Jati Hain
tumhy achi trha maloom tha kah main ghareeb hun.

phir bhi tum ne meri her cheiz tord di.
hum wafadar thy shayad es laye nazron se gar gaye.

shayad tujhe talash kisi bewafa ki thi.
Tujhko paa lene me ab wo betaab kaifiat kahan

Zindagi to wo thee jo teri justju me kat gayi