Kisi Larki Se Mat Kehna

Kisi Larki Se Mat Kehna
Kisi Larki Se Mat Kehna

Ke Uss Se Pyar Kertay Ho

Ager Ek Be-Dhayani Mein

Yeh Iqrar Ker Bethay

Kisi Se Pyar Ker Bethay

To Phir Wadoon Ki Doroon Mein

Ulajh Ker Toot Jao Ge

Tumharay Pyar Ka Us Ko

Ager Ehsaas Ho Jaye

To Ho Sakta Hai Tum Us Ka

Rang-o-Roop Ban Jao

Mohabbat Ke Safar Mein Shayad

Aysa Morr Aajaye

Ke Tum Narazgi Ka

Bermila Izhaar Ker Bethay

Koi Inkaar Ker Bethay

To Yeh Samjhoo Koi Sheesha,

Koi Dil Toot Jaye Ga

Ke In Ke Dil Bohat Nazuk,

Bohat Kamzoor Hotay Hain

Kisi Larki Ke Dil Ka Tootna Bhi

Mout Hoti Hai

Kisi Larki Say Mat Kehna

Ke Us Se Pyar Kertay Ho....!
  

Jun, 05 2010     641 chars (5 sms)     4279 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Aisa Lagta Hai Zindagi Tum Ho
Ajnabee, Kaise Ajnabee Tum Ho?
Main Zameen Par Ghana Andhera Hoon
Aasmaanon Ki Chaandini Tum Ho
Ab Koi Aarzoo Nahin Baakee
Joostjoo Meree Aakhree Tum Ho
Doston-Se Wafa Ki Ummeeden!
Kis Zamaane Ke Aadmee Tum Ho?
Nahi wo shakhs muqadar main phir bhi Uss se miltay hain,,,,

Bara pur Lutf lagta hai muqadar ko SaZa dena....
Tere Bagair Bhi khaali nahi meri Raatai''n

hy Ek saya mere Saath Hm nasheen ki Tarah
kya tareef karu aapki, Jeet
Aap shabdon mein kahan sama paoge

Bas itna jaanlo ke jab bi baat chalegi Dosti ki
Meri aankhon mein aap hi nazar aaoge.
Tum Nay Murjhai Huway Phool Kabhe Dekehy Hain?
Dil Ki Qabroun Per paray
Hijer Ki Lash Ki Aankho Per Dharay
Tum Nay Uktae Huway Khuwaab kabhe Dekhey Hain.?
Derd Ki Palkoun Say Liptay Huway
Ghebraey Huway..
Tum Nay Beychain Duaain Kabhe Dekhi Hain?
Muhabbat K kinaroun Per Bhatakti Phirti
Tumnay Dekha Hai Mujhay,,?
Kia Kabhe Dekha Hai Mujhay,?
yehi naasih jo hamein tujh se na milney ko kahain
tujh ko dekhain to tujhey dekhney aaney lag jaaein

qurb achha hey magar itni bhi shiddat se na mil
ye na ho tujh ko merey rog puraanay lag jaaein
Ae kalam zara ruk k chal,
kya haseen muqam aya hai,
kuch der thehar ja,
tere nok ke neeche mere dost ka naam aya hai..
rone se agar jo badal jaate naseeb..

ghalib..

to aaj duniya mein hum bhi khush naseeb hote.
usne shugfuta mazaji ko naya mor deya.
mujh ko paaband-e-zanjeer kua or chor daya.
us ne aanchal se nakali meri ghum gasta kitaab.
or chupke se mhubat ka waraq mor daya.
Aap ko kahein ki Dil ko aur na satayein

Aap ko kahein ki Mill ke aag ek jalayein.

Aap ko kahein ki Khil ke mahak jayein

Aap ko kahein ki kya khata meri batayein.
Kahin tum bhi na ban jana mazmiin kisi kitaab ka

....."Qanwal".....

LOg baray shoq say parthay hain kahaniyan be'wafaon ki
Mujhse Kehti Hai Tere Saath Rahon ge Sada
Bohat Pyar Kerti Hai Mujhse Udasi Meri