ek kaanch sa khwaab

ek kaanch sa khwaab
ek kaanch sa khwaab tha,

toot gaya..

main jaan gaya,

tum meray nehi..

par jaana bhi to kis pal main!

jab aas ki pyaas nay,

shidat k sub sehra jungle paar kiye...!!!
  

Jun, 03 2010     183 chars (2 sms)     2551 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Eik sawal zindagi se kiya karte hain

K hum iss duniya mein kyun jiya karte hain,

Jab kisi k liye kisi k paas waqt nahin to

loug kyu rishtay bana liya karte hain
Behtay hoay pani ko rokon kaisay,,
Yeh safar chahton ka choron kaisay,,,
tum bin nahi hai adat is dil ko dharknay ki,,
tum bin piyar ka ashiyan banaon kaisay,,,
yeh duniya hai nafrat say bhari,,
her mor per hai mushkil khari,,,
tum bin her mushkil ko sahon kaisay,,,
her sapna sajh jata hai,,,
aankhon kay band hotay hi,,
sapnay tote janay kay dar say yeh nigahyn kholon kaisay,,,,
Chalo Mohabbat Ki Nai
Bunyaad Rakhty Hyn !

Khud Paband Rehte Hyn
Tumhai''n Azaad Rakhty Hyn !

Humare Khoon Mein RAB Ne
Taseer Hi Aisi Rakhi Hy

Buraiya''n Bhool Jatey Hyn
Achaiya''n Yaad Rakhty Hyn !

Ye Soch Kr k Ghustakhi Na
Ho Jaye Mohabbat Mein

Isi Liye Apna Khyal Tere
Khyaal K Baad Rakhty Hyn !
tum apni khudi ke pehre main
aur daam e guroor mai jakre huai
hum apne zou''m ke narghe mai
anaa haath hamara pakre huai
KAUN SUNEGA KIS KO SUNAYEN IS LIYE CHUP RAHETE HAIN
HUM SE APNE RUTH NA JAYE IS LIYE CHUP RAHETE HAIN

MERI SOORAT DEKHNE WALON MAIN BHI EK AAYENA THA
TOOTA JAB YEH SHEESH-E-DIL SAWAN KA MAHINA THA

TUKRE DIL K KIS KO DIKHAYEN IS LIYE CHUP RAHETE HAIN
HUMSE APNAY RUTH NA JAYEN IS LIYE CHUP RAHETE HAIN

AAJ KHUSHI KI IS MEHFIL MAIN APNA G BHAR AAYEA HAI
GHAM KI KOI BAAT NAHI HAI HUMEN KHUSHI NE RULAYEA HAI

AANKH SE AANSO BAHE NA JAYEN IS LIYE CHUP RAHETE HAIN
HUMSE APNAY RUTH NA JAYEN IS LIYE CHUP RAHETE HAIN

PYAR K PHOOL CHUNAY THAY HUMNE KHUSHI K SEJ SAJANE KO
PAT JHAR BAN KAR AAYI BAHAAREN GHAR MAIN AAG LAGANE KO

AAG MAIN GHAM KI JAL NA JAYEN IS LIYE CHUP RAHETE HAIN
KAUN SUNEGA KIS KO SUNAYEN IS LIYE CHUP RAHETE HAI
USEY APNE FARDA KE FEQAR THEE, WHO MERA WAQIFE HAL NA THA, JO US KE SOBHE UROOJ THEE, WOH MERA WAQTE ZWAL THA, SADYON BAD MELA BHEE TO MEREY LAB PAY KOI GELA NA HA, USEY MEREE CHUP NEY RULA DEYA, JESEY GUFTGO PAY KAMAL THA
ehsas na kar in jazbon ka,nazron se gira be-shak lekin,,

jeena bhi mujhy dushwar lagy,itna to nazar andaz na kar..
idhar udhar ki baat na kar ye bta k qafla kis terha luta.

mujhe gila nahi rahguzar se mujhe gila teri rahbri ka hai.
zindagi mein ayein hai kuchh daur is tarah,
sawan mein aate hain toofan jis tarah.
mujhe se door ho chuke woh mere apne kuchh aise,
ki marne ke baad jism se rooh jis tarah
Lagta nhi k sath nibhae ga dair tak,
Lekin wo muJh ko bhool na pae ga dair tak. . .
Jo bhi qareeb aae ga us k usy zaror,
wo meri dastan sunae ga dair tak. . .
Dhonde ga wo muJhe inhi galiyon me aik din, Dhonde ga or muJh ko na paae ga dair tak. . . Me sahilon ki rait pe likhon ga us ka naam,
Wo paani pe naqsh banae ga dair tak. . .
Kis haal me hon us k baad me, Sun kar use yaqeen na aaega dair tak......................
Tark-E-Taluq Ki Pahel Mein ne Ki
Chahta To Wo Tha Magar Us Mein Hosla Na Tha
Chorne Ka Faisla To Roz Kerta Tha WO Magar
Meri Wafa K Aage Uska bas Chalta Na Tha
Bachpan ke dukh bi kitne ache the,
tab to sirf khilone tuta karte the.
Wo khushiyan bi na jane kaise khushiyan thi,
titli ko pakad ke uchhla karte the.
Paoon maar ke khud barish ke pani mae,
apna aap bhigoya karte the.
Ab to ek aansu bi rusva kar jata hai,
bachpan mein to dil khol ke roya karte the.