Ghum Nahi Bholta

Ghum Nahi Bholta
Ghum Nahi Bholta Bhulanay Say“
Num Hoe Ankhayen Muskurany Say

Aaj Woh Ajnabi Say Lagty Hain
Janta Hoon Jisay Zamany Say

Doston Ki Parakh Nahi Kerna
Maan Totay Gaa Azmany Say

Jab Say Apnoo Say Chaut Khaye Hai
Koi Shikwah Nahi Zamanay Say

Zindagi Ki Haqeqaton Ki Kasam
“Dil Ki Batein Hain Bas Fasanay Say “
  

Jun, 03 2010     321 chars (3 sms)     2884 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Yoon To Duniya Dekhne Mein Bohat Khush Rang Thi _ _ _

Kabar Mein JaTE Hi Is Ki HaqIqat Khul Gai _ _ _ ;->
Main yeh kehta hon ke
phir se dil lagana chahiye


Neend ki aghosh main
sapna suhana chahiye


Dil ki lau ko sard kar
dena aqal mandi nahi

Dil lagane ko agar-chay
ek zamana chahiye

Koi taaza phool le kar
milne aa jaye to phir

Apne zakhmi jaan-o-dil
ko bhool jana chahiye.
Lahoo say dil pay jo kheencha thha naqsh kaisay mita doon
Tuhi bata main tujhay apnay dil say kaisay bhula doon

Meri hasti ko to bas aas thhi teray wujood ki
Meri hasti ka jo haasil hai ussay kaisay bhula doon

Meri tanhaayi mein jo saath mera chhor na paaya
Shab-e-furqat ka jo haasil hai ussay kaisay bhula doon

Talaash-e-raahat-e-hayaat mein jeevan guzar gaya
Shaoor kho kay jo paaya hai ussay kaisay bhula doon

Wohi to yaad thhi shaadaab wo hi yaad hai shaadaab
Rahay gi yaad wo shaadaab ussay kaisay bhula doon..!
ghalti hu gai tum se muhabat kar k,,,

amir

nazar andaz tu na kro kua maar hi dalo ge....
HovY mar k hm jo ruswa,hovY Q Na GharQ-E-DarYa....



Na kabi janaza Uthata na Kahin mazaar hota...:
Tere firaaq ke lamhay shumaar kertay huay
Bikher gaye hain tera intazar kertay huay
Wo keh rahi thi samunder nahin hain aankhain hain
Main un main doob gaya aitabaar kertay huay
main ne jub bulbul sa poucha dird-a-furqit k ilaj

shakh-a-gul se gir pari tarpi trp kir mir gye.
Kis Ko Fursat Hey


Key Mujh Sey Behas Karey


Aur Sabit Karey


Key Mera Wajud


Zindagi Key Liye


Zaruri Hey....
bicher ker juda tou nahi ho gaye hum
kahin be-wafa tou nahi ho gaye hum

jo milna bhi chahain tou ab mil na payein
youn be-aitnaa tou nahi ho gaye hum

magar phir bhi khilqat hamain poojti hai
agarcha khuda tou nahi ho gaye hum

kharay hain azal se sag-e-reh ki surat
kahin rehnuma tou nahi ho gaye hum

teri yaad aati hai fursat mein aksar
tere mubtila tou nahi ho gaye hum
aisa kya likhoon k tery dil ko tass''alli pohanchy..""

kya yehi kafi nahi k meri duaaon mein tum ho...""
main apni wafa k badle tum se wafa nahi mang raha...

main tu tum se haseen raat mang raha hoon jis main tum na thy
Yeh kaisi uljhan main mar raha hoon
Main apney saaye se dar raha hoon
Jo ho sakey to samait ley wo
Main tinka tinka bikhar raha hoon