Yeh bhi saach hai ke nahi koi rishta tujh se...
Jitni umeedein hain wabasta hain tanhan tujh say....
Yeh alag baat tujhey toat ke chaha laykin....
Dil bemaya nain kuch bhi nahi chaha tujh say..!!
Woh Shukhs K Main Jis Se Mohabbt Nahi Kerta
Hansta Hai Mujhe Dekh k, Nafrat Nahi Kerta.
Dete Hain Ujalay Mere Sajday Ki Gawahi,
Main Chup K Andheroon Main Ibadut Nahi Kerta
Duniya Main Qateel Is Sa Munafik Nahi Koi,
Jo Zulm Tu Sehta Hai Baghawut Nahi Kerta...
kon kheta hai k dour hain hum
woh bhe tou wahi aasma dekhti hogi
jo main dekhta hoon
woh bhi tou wohi suraj dekhti hogi jo main dekhta hoon
farq hay tou hay bus itna
farq hay tou hai bus itna
woh wahan chand dekhti hay
aur main chand me uski surat dekhta hun
Ghum unko bhi naseeb hotay hain
Jo log khushnaseeb hotay hain
Hota hai dunya main koi aik hi apna
Warna saray dusray raqeeb hotay hain
Some Hopes: badalna ata nahi humay mosamoon ki tarha
har aik rut may tara intizaar kartay hain
na tum samait sako gay jasay qayamat tak
kasam tumhary tumhay itna pyaar kartay hain
Phool Khushboo Ke Nashe Main Bikhar Jate He
Log Pehchan Banate Banate Marjate Hein
Maanzil Un Ka Hi Mukkadar Hoti He Talab Ho Jinko
Be Talab Log To Manzil Se Ghuzar Jate Hein