Poetry

Poetry
Abhii Iss Taraf Na Nigaah Kar Main Ghazal KiiPalke'n San'vaar Luu
Meraa Lafz Lafz Ho Aaina Tujhe Aaine Mein Utaar Luu

Main Tamaam Din Ka Thakaa Hua Tu Tamaam Shab Kaa Jagaa Hua
Zaraa Thahar Jaa Isii Mor Par Tere Saath Shaam Guzaar Luu

Agar Aasamaa'n Kii Numaisho'n Me.N Mujhe Bhii Izn-E-Qayaam Ho
To Main Motiyo'n Kii Dukaan Se Terii Baaliyaa'n Tere Haar Luu

Kaii Ajanabi Teri Raa'h Ke Mere Paas Se Yuun Guzar Gaye
Jinhe'n Dekh Kar Ye Tarap Hui Tera Naam Leke Pukaar Luu
  

Sep, 17 2011     490 chars (4 sms)     3946 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

UDas Karna
UDas Hona

Na DOR Rehna!
Na Paas Hona,

Woh aahaton Ka sunai Dena

or Mujh Ko Tera Qayas Hona,

Acha Lagta hai
Tujh say MiLNA!

Mujh Ko Tera Libaas Hona

Main aankhon aankhon main sab Kahon ga..!

Kuch Tum bhi ishara shanaas Hona..!

Meri yadon say Batain Karna,

Jab kabhi Tum UDas Hona.
=====ISHQ=====
Rone se gham-e-dil ka guzara nahi hota.……………..
Har ashq, gham-e-ishq ka sahara nahi hota.…………

Hai ishq ke dariya me toofan bhi bhanwar bhi.………
Par har kashti ke naseeb me kinara nahi hota.………

Ishq ka to ab kya bataen, isme aksar.…………………..
Jiske hum ho jaate hai wohi humara nahi hota..…….
ae barish tujhy aaj kis ne rula daya hai.

barasti hi ja rahi hai mere shahr main.
Aap paas raho ya dur
Hum dil se dil ki aawaj mila sakte hain
Na khat, na telephone ke mohtaz hai hum
Aap ke dil ko hichkiyon se hila sakte hai hum
Raqs Karti Hain Gardish-e-Dauran,
Dar Khulay Hain Sharab Khano K,


Chai Peenay Ko Ab Kahan Jayen Faraz,
Bund Hogaye Hain Hotal Pathano K..
Kabhi apne dil se bhi baat kiya karo
kabhi dil ki dhadkanon ko mehsuus kiya karo
rehte hai hum aap ke jism me dil bankar
kabhi apne dil par bhi hath rakh liya karo
Salamay ishq ko hum bhi salam kartay,
Humay bhi tumhara pyar bhara salaam chahiye,
Doosro ke likhi hooi shayari nahin,
Tumhari dil se nikli hui pegaam chahiye.
apne hi haal pe hansna bhi hans ke rona bhi.

main bayak waqt tamasha bhi,tamashai bhi.
Aksar pyar karne wale apne pyar ki tarif karte hain,
taki woh unse juda na ho jaye,
hum isliye khamosh rehate hain,
taki un pe koi aur fida na ho jaye..!!
zindagi ki musafat main
khoshion ki chahat main
mausmon ki manind
lehjay badal jatay hain
sukhay paton ki tarhan
waday toot jatay hain
yunhi saath chalnay walay
rasta badal jatay hain
kion zindagi ki musafat main
zindagi se payaray log
choot jatay hain
humain vo bhool jatay hain

kaise lagi aap sub ko?????????????
WO Baat Baat Pe Deta Tha Mujhe Parindon Ki Misaal
Saaf Saaf Nahi Kehta Ke Mera Shehar Chor De
udasion mein jeena adat ban gai hai.

jin se umeed thi yad rakhne ki wohi bhool gaey