Ho Raat Akeli Pichlay Paiher Or

Ho Raat Akeli Pichlay Paiher Or
Ho Raat Akeli Pichlay Paiher Or
Chand Gagan Main Aa Jaye,
Tum Chand Ki Manend Tanha Ho Ye Baat Tmhay Tarpa Jaye.
Kuch Khuwab Saja Kr Palkoun Pay
Tum Chand Say Batein Kr Laina,
Hum Yaad Tmhay To Krtay Hain Tum
Yaad Humain Bhi Kr Laina.
Kuch Bat Na Ho Jb Aisay He Num Ankh
Tmhari Ho Jaye,
Tum Bat Kahi Pr Krty Ho,Dil Or
Kahi Per Kho Jaye.
Jazbat K Aisay Alam Main
Muskan Laboun Par Bhar Laina,
Hum Yaad Tumhe To Krtay Hain,
Tum Yaad Humain Bhi Kr Lena..
  

Jun, 01 2010     466 chars (3 sms)     5154 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

tum na khush fehmiyoon mein kho jana

woh tou hans ker sab hi se milta hai
Baghair us k udaas hoon main
Badalti rut ka kiyaas hoon main
Bujha de apni muhabbatoon se
Sulagti sadion ki piyaas hoon main
"Na wajood apna, na rooh apni
Bas ik tamasha yeh zeest thehri
Na dil lagi main sakoon paya
Na aashqi main qarar paya
Na wasl lamhay hi raas aaye
Na firaaq hi ghum guzaar paaye
Ajab yeh chahat k marhalay hain
Na jeet paaye na haar paaye
Na hi yaadon ki dhund utri
Na dil k daaman ko jhaar paaye
Na aankhain khawabon ko dhoond paaien,
Na khawab aankhon ko dhoond paay'"
Shaam hotay hee woh chokhat par jala kar shamma
Apni aplkon pay kai khwab sajati ho gee
Is nay silwa bhi liye hongay siyah rang k libaas
Ab moharam k tarah eid manati ho gee
Meray tareek zamanay say nikalnay wali
Roshni tujh ko meri yaad dilate ho gee
Dil ki masoom raggin khud he sulagti ho gee
Jonhi tasveer ka kona woh jalati ho gee
Roop day kar mujhay is mein shezaday ka
Apnay bachon ko kahani woh sunati hogee
Nahin Fursat YaQeen mano Hamain Kuch or Karney ki...
.
.
Teri Yadain,
Teri Batain,
Buhat Masroof Rakhti hain..!
Koi Wada Nahi Phir Bi Tera Intezar Ha
Judai K Bawajod Bi Tujse Pyar Hai
Tere Chehry Ki Udasi De Rahi Hai Gawahi
Mujse Milne Ke Liye Tu Bhi Bekarar Hai
Kaash !!

Woh Jab Bhi Mujh Say Milti Thi
Har Baar
Ekk Masoomiyat Say
Poocha Karti Thi
Ke Tum Mairey Hi Ho Na?
Aur Main Har Baar
Uss Ke Chehrey Ko Choo Ke
Qasam Khaya Karta Tha
Par Kaash!!!
Mainey Aik Baar Hi Uss Say Poocha Hota
Ke
Tum Mairi Hi Ho Na???
dareeja yad ka khulty he sab kch lot ata hai
purany manzaron ko ankh phir sy dekh pati hai
teri tasveer banti hai teri awaz ati hai
galt hai yeh!!
k koi guzy kal my jee nhi sakta
sarabon my bany daria sy pani pe nhi sakta
MUJY DEKHO.............
Kal khud hi apni mehfil se nikala tha

aaj hue se deewaane dhundte hai.

Musafir be-khabar hai teri aankhon se,

tere shahar mei maikhaane dhundte hai
Chahton k mosam mein,
Zakhm jo b lag jaen,
Umer bhar nahi siltay,
Tum nay sun liya ho ga,
Shehar ki hawaon say,
Wo jo ik dewana sa,
Atay jatay rahi ko,
Raston mein milta tha,
Ab kahin nahi milta...
Iqrar mein kahan hy Inkar ki si khoobi ...

K barhta hy shauq-e-Ghalib un ki nahi nahi sy ..
Bohut royi Hain shayad Aankhen Tumhari






meri khatir Aankhon mein Thora kajal laGa Lo