chahta hun keh bhool jaun tumhen

chahta hun keh bhool jaun tumhen
chahta hun keh bhool jaun tumhen
Aur ye sab dareecha ha-e-khayal
Jo tumhari hi simt khulte hain
Band kar dun kuch is tarah se keh yahan
Yaad ki ik kiran bhi na aa sake

Chahta hun keh bhool jaun tumhen
Aur khud bhi yaad na aun tumhen
Jaise tum ik kahani thien
Jaisae main ik fasana tha !!
  

May, 29 2010     298 chars (2 sms)     3258 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Ishq Aur Dsoti Meri Zindagi Ka Unwaan Hai
Ishq Meri Rooh Dosti Mera Emaan Hai
Ishq Pe Kerdon Main Saari Zindagi Fida
Magar Dosti pe Mera Ishq bhi qurbaan hai
jo bhaagte bhaagte thak jaayen
woh saaye ruk bhi sakte hain
chalo toro kasam ikraar karen
hum dono jhook bhi sakte hain
Jisne Shaoor Dia Mujhe Muskurane Ka
Usey Shouq Hai Ab Mujhe Shab-O-Roz Rulane Ka
Jo Lehron Se Cheen Ker Laya Tha Kinare Per
Muntazir Hai Ab Wohi Mere Doob Jane Ka
Heena Ke Rang Mein Assar Nahin Aye Khoon-e-dil,
Haatheli Uski Saajani Hai Kya Kiya Jay,
Mera Wajood Hai Pani Mein Bulbule sa,
Dariya Mein Rawana Hai Kya Kiya Jay.
…Likha tha naam tera hath ke lakeero’n mai’n
Teray baghair kahaa’n jaa kay hath phailaatay
Mai''n kahee''n gum hoo''n...


Tum kahee''n gum ho...


Phir bhi aisa lagta hay...


Her jagah mai''n hoo''n...


Her jagah tum ho...!
is sadagi pay kon na mar jaye ay KHUDa
Waar karte hain aur hath main talwar bhi nahi,

Chup chup ke humara deedar karte hain woh,
aur poocho to kehte hain ki pyar bhi nahi....
yoon na mil mujh se khafa ho jise
saath chal mouje saba ho jaise
loag yoon dekh kar hans dete hain
too mujhe bhool gaya ho jaise
Kabhi Yaad Aaye Tou Pooch
Zara Apni Khilwat-e-Shaam Se
Kisey Ishq Tha Teri Zaat Se
Kisey Pyar Tha Tere Naam Se

Zara Yaad Ker Wo Kon Tha ?
Jo Kabhi Tujhe Bhi Azeez Tha
Wo Jo Jee Utha Tha Tere Naam Se
Wo Jo Mar Mita Tere Naam Pe

Humain Berukhi Ka Nahi Gila
K Yahi Wafao''n Ka Hai Sila
Magar Aisa Jurm Tha Konsa
gaye Hum Dua-o-Salam Se

Na Kabhi Visal Ki Chah Ki
Na Kabhi Firaaq Main Aah Ki
K Mera Tareeqa-e-Bandagi
Hai Juda Tareqa-e-Aam Se
Sono

tum ne kaha tha,

tum meri zindagi hu.

chalo

ub bata do

tum zinda kase ho...
Aab Ki Intazar Ek Aadat Si Hogai Hai
Khamoshi Se Ek Caahat Si Hogai Hai

Na Shikwa Na Shikayat Karne Ki Zarurat Hai
Kyun K Is Tanhai Se Abb Mohbbat Si Hogai Hai
ek roz koi tou sochay ga,
ek shakhs tha pagal pagal sa.
pr baatain theek hi kehta tha,
baraish ki tarha pur-shor na tha.
dariya ki tarha chup rehta tha.
aur jin se pyar wo kerta tha,
judai bhi unhi ki sehta tha.
ek roz koi tou sochay ga,
kyun jetay-ji dargore kuwa.
kis ranj ne usko maar dia,
ek roz koi tou sochay ga,
or pehron baith ke roye ga.