Hum na samjhe tere

Hum na samjhe tere
Hum na samjhe tere nazroon ki taqaza kya hai...
Kabhi jalwa kabhi parda ye tamasha kya hai...

Mujh ko madhosh sa ker rakha hai tere aankhon ne...
Warna ae Saaqi tere meh khane mien rakha kya hai...

Dekh laila tere majnoo ka kaleja kya hai...
Khak mien mil k bhi kehta hai k bigra kya hai...

Ye surahi sa badan le k mere samne na aa...
Main sharabi hoon sharabi ka bharosa he kya hai...

Aapne honton ko mere honton se chone to de...
Aik do ghoont se bottle ka bigarta kya hai...
  

Jun, 04 2010     496 chars (4 sms)     4422 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

parhna Hai to insanon ko Parhne Ka Hunar Sikho


Har ek Chahre Pe Likha Hai Kitabon se Ziada.
Pehle Maire Khat Us Ne

Ek Anjaane Khauf Se Darr K

Tukrey Tukrey Kar Daaley

Ab

Ek Haseen Ehsaas K Taa''bey

Jis Ka Koi Naam Nahi Hy

Pichle Kitne Ghanto''n Se

Darwaaze Ki Aot Main Chup Ker

Tukrey Jor Rahi Hai ....... PAGAL
Jab say teri chahat apni zindagi bana li hai
Hum nay udas rehna adapt bana li hai
Her din har raat kati hai teri yaad mein
Teri yaad hum nay ibadat bana li hai
Kya sarokaar ab kisi se mujhe
Waasta tha to tha tujhi se mujhe

Behisi ka bhi ab nahin ehsaas
Kya hua teri berukhi se mujhe

Maut ki aarzoo bhi kar dekhun
Kya ummeedein thi zindagi se mujhe

Tera gham bhi na ho to kya jeena
Kuch tasalli hai dard hi se mujhe

Kar gaye kis qadar tabaah Zia''
Dushman andaaz e dosti se mujhe...
Kisi Aur ko mErAy haal se nA Gharz hy nA koi wasta


mAin bikhAr Gaya hoon smait lo,mAin BighAr Gaya hon,sAnwAr Do
Aankhon Main Jal Raha Hai Kio Bujhta Nahi Dhuhaan
Uthta To Hai Ghata Sa Barasta Nahi Dhuhaan

Aankhon K Ponchne Se Laga Aanch Ka Pata
Yun Chehra Peher Lene Se Chuhpta Nahi Duhaan

Aankhon Se Aanso’on K Marasim Poorane Hain
Mehmaan Yeh Ghar Main Aayen To Chubhta Nahin Duhaan
Dosti sachi ho to waqt ruk jata hai,
Aasman lakh ucha ho magar jhuk jata hai.
Dosti mein duniya lakh baney rukavat,
Agar dosti sach ho toh khuda bhi jhuk jata hai.
Kaun kehata hai tujhe maine bhula rakha he
Teri yadon ko kaleje se laga rakha he

Lab pe Aahen b nahi Aankh me Aansu b nahi
Dil ne har raz muhabt ka chhupa rakha he

Tune jo dil k andhere me jalaya tha kbhi
Vo diya aj b siine me jala rakha he

Dekh ja aake mahakte huye zakhmon ki bahaar
Maine ab tak tere gulshan ko saja rakha he
Meri TAkmeeL mAin HissA hAy TumhArA Bhi bohAt . . .


MAin AgAr TuMsE nA miLtA tO AdhUrA HotA . . .
Rulana Har Kisi Ko Ata He,
Hasana Kisi Kisi Ko Ata He.
Rula Ke Jo Mana Le Wo Sacha Yaar He
Or Jo Rula Ke Khud Bhi Ansu Bahaye Wo Pyar hai
SanG DiL hY Wo To Q Us ka Gila maine kia


jb k khud Pathar ko butt'' Butt ko Khuda maine kia

Kaise Namanoos Lafzoo ki kahani Tha Wo Shakhs

Us ko kitni mshkilo Se Tarjma maine kia
Har Dharaktay Pathar Ko Log DIL Samjhtay Hain








Umarain Beet Jati Hain DIL Ko DIL Banane Main