tumhi ko dekhte rehna,
tumhi ko chahte rehna,
tumhi ko sochte rehna,
tumhi ko sunte rehna,
buhat gehre khayalon main,
jawabon main,
sawalon main,
muhabat ke hawalon main,
tumara naam a jana mujhe acha sa lagta hai,
tumhare sang sang chalna,
wafa ki aag main jalna,
tumhein naraz kar dena,
kabhi khud bhi rooth jana,
tumhari berukhi pe bhi tumhari arzu karna,.
khud apne dil ki dharkan se tumhari guftago karna
mujhe acha sa lagta hai. .........
Khuda kare ki hamari Dosti me aisa mukaam aaye,
Hum tumhe yaha yaad kare aur tumhe vaha khabar ho jaaye,
Dua bas itni mangi hai rab se ki aap jo khushi mange wo aapko mil jaaye.
Baatein aisi karo ke jazbaat kabhi kam na ho;
Khayalat aise rakho ke kabhi ghum na ho;
Dil me apni bas itni se jagah dena hume;
Ke khali-khali sa lage jab hum na ho