Dhuwan Banake Fiza Mein

Dhuwan Banake Fiza Mein
Dhuwan Banake Fiza Mein Uda Diya Mujhko,
Main Jal Raha Tha Kisine Bujha Diya Mujhko,

Tariqeeyon Ka Fasana Suna Diya Mujhko,
Abhi Hansa Bhi Tha Aur Rula Diya Mujhko,

Main Ek Zara Bulandi Ko Chhune Nikla Tha,
Hawa Ne Thaam Ke Zameen Par Gira Diya Mujhko,

Safed Saang Ki Chaadar Lapet Kar Mujhpar,
Faseel-E-Sheher Pe Kisne Saja Diya Mujhko,

Khara Hoon Aaj Bhi Roti Ke Chaar Harf Liye,
Sawal Ye Hai Kitabnon Ne Kya Diya Mujhko,

Na Jaane Kaunsa Jazba Tha Jisne Khud Hi,
Meri Hi Zaat Ka Dushman Bana Diya Mujhko...
  

Jun, 05 2010     531 chars (4 sms)     4862 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

main muntazir hoon barish ka, fasl-e-bahar say pehlay,
main muntazir hoon phoolon ka, rahon main khaar say pehlay.

haan us k wastay sooli, pe char gaya tha main laikin,
maktal main sang utha paya, koi na yaar say pehlay
Kar ke wada wafa kaa wo u mukar gaya,

Ek Chote se tufaan se wo kitna dar gaya.

Pata nahi koi majburi thi uski,

Ya fir is khilone se bhi uska dil bhar gaya
Milo k aj koi bat
ru baru kr len.
Ye Q ha durian kuch is pe guftgu kr len.
Krenge pir se ibadat tmhare chehry ki
K pehly ankh ko ashkon se ba''wazu kr ly..
kabhi wo hum pe jaan dia karti thi
jo kehtay they wo maan lia karti thi

kal anjaan ban kar paas se guzar gai
Woh jo door se pehchaan lia karte thi…
hairaa''n hon k mujh se hi maidaan jeet kar,

usko meri shikast ka dard chhorta nhi...
use kaho ub na husan k qafle le kar aye shahr main.

tere husan se sub qatal na hu jaye sub or kahin shehar weran na ho jaye.
Humara har lamha chura liya aap ne,
Aankho ko ik chand dikha diya aap ne,
Hume zindagi to di kissi aur ne,
Par itna pyaar kar ke jeena sikha diya aap ne
kon ujra ho ga bhari duniya mai hamari tarha.

tu b na mila humko aur khud ko b ganwa bethe.
Teray jesi aankhon walay jab sahil pe atay hayn........

Lehrain shor machati hain, lo ajj Samnuder DOOB gaya..
Sawab Samajh Kar Wo Dil K Tukray Karta Hai...




Gunnah Samajh Kar Hum Un Se Gila Nahi Karty... /
Mere kareeb to aao ki bahut udaas hoon mai,
koi kahani sunao ki bahut udaas hoon mai,
kisi bhi jhoote dilaase se dil ko behlao to sahi,
bus aaj toot ke chaho ki bahut udaas hoon mai..............
Zindgi ki rah ma rasty badal jaty hen,

waqt ki andhi ma insan badal jaty hen,

sochty hen tumhe itna yad na karenlekin,

Ankh band karty he irady badal jaty hen