yadein zakham bankar dil mein reh gayi warna
tumein bhoolaney ki koshish toh ki thi hum ne
lafaz bunkar dil par shup si gayi hein teri batein warna
unein mitaney ki koshish toh ki thi hum ne
tumari yaad ki gehrai thi koi kucha rung na tha
joh koshish karney par dhul jata warna
oss rung ko churaney ki koshish toh ki thi hum ne
teri yaad mein roney se fursat nhin milti warna
muskuraney ki koshish toh ki thi hum ne
yaad zakahm bankar dil mein reh gayi warna
tumein bhoolaney ki koshish toh ki thi hum ne!!
tumhe apne dil me basahea hai me na
khtaha hai yeh mere yehe juram hai mera
jo chaho mohabat ki ab tum saza do
bhot muj ko is me bhe rahiat mele ge....
jab kabhi
koi yaad
achaanak ankhein chabho jae
to meri hatheliyon ke lams ki baaz gasht
honton se lagaana
use saanson se garm karna
or palkon ko band kar ke
ankhon se choom lena
Mohabat aisa nagma hai
Zara bhi jhool hole mein
to sur qayam nahi hota
Mohabat aisa shola hai
hawa jaisi bhi chalti ho
kabhi madham nahi hota
Mohabat aisa rishta hai
k jis mein bandhan waloon k
diloon mein gham nahi hota
Mohabat aisa pouda hai
jo tub bhi sabz rehta hai
k jub mousam nahi hota
Mohabat aisa rasta hai
agar pairoon mein larzish ho
to yeh mehram nahi hota
MOHABAT AISA DARYA HAI
K BARISH ROOTH BHI JAYE
TO PANI KUM NAHI HOTA