Ek Tooti hui zanjeer ki Faryad hain Hu

Ek Tooti hui zanjeer ki Faryad hain Hu
Ek Tooti hui zanjeer ki Faryad hain Hum.

0r Dunya
samajhti hai k
Azad hain Hum.

Is ashiqui ne Hum ko dya kya hai.

Kal Bhi Barbad thy or Aaj B Barbad hen Hm.
  

May, 28 2010     168 chars (2 sms)     4863 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

AB NIGAHON MEIN
NA KHUWAISH HAI
NA HASRAT HAI
NA MALAL
AB YAHAN LUB PY
KAHAN HURF-E-SAWAL AATA HAI
HUM NY APNY DIL KO BOHAT DAIR SANBHALA
DIL HAI PATHAR TOH NAHEE
IS MEIN TOH BAAL AATA HAI
AB HUMEY KIS KI MUHABBAT KA YAKEEN AAYE GA
UN KI BEYZAR NIGAHOON KA KHAYAL AATA HAI..!
Agar zindagi mein judai na hoti,
To kabhi kisi ki yaad aayi na hoti,
Saath hi gujarte har lamhe to shayad,
Rishton mein ye gehrayi aayi na hoti...
nazar se door hota ja raha hai
k woh majboor hota ja raha hai

ussey hum sey taghafal ka gilla hai
jo khud maghroor hota ja raha hai
Manzil-e-gham ki fazaon say lipat kar roo loon
Teray daman ki hawaon say lipat kar roo loon
Jam-e-maaey peenay say pehlay mera jee chahta hai
Bikhari zulfon ki ghataon say lipat kar roo loon
Zard ghunchon ki nigahon mein nigahein daloon
Surkh phoolon ki qabaon say lipat kar roo loon
Aanay walay teray rastay mein bichaon aankhein
Janay walay teray paaon say lipat kar roo loon
Apnay majboor taqadus k sahary sagar
Deer-o-kabah k khudaon say lipat kar roo loon
Tum pas hote tu koi shrarat krty,

Tujy le kr bahon me
"MohBT" krty,


Dekhty teri ankhon me nend ka khumar,

Apni khoi hui nendon ki
"ShikayaT" krty,.
Ghum unko bhi naseeb hotay hain
Jo log khushnaseeb hotay hain
Hota hai dunya main koi aik hi apna
Warna saray dusray raqeeb hotay hain
Some Hopes: badalna ata nahi humay mosamoon ki tarha
har aik rut may tara intizaar kartay hain
na tum samait sako gay jasay qayamat tak
kasam tumhary tumhay itna pyaar kartay hain
main tu us loote howe qafle ka wo hisa hun amir

jis main mujh se tujhe chahne ka andaz loot leya gaya.
khizaon mein hota hai imtihan wafaon ka...

jo shajar ko payray wo pattay gira nahi kartay..
Husool-a-Deed se mashroot kb hai Jazba-a-Dil,

Mujhay to Pyar Teray Naam pr b aata hai,

Main Hijr-o-Wasl ki Haad se Guzar Gaya Shayed,

Tu Samnay B nahi or Nazar B aata hai..
Bohat Ajeeb hain ye Bandishian Muhabbat ki...

Na uss ne Qead mein rakha...

Na hum Farar hue...
main bhi mohabt ko manya tha eid ki terha"AMI"

ek chand nikla tha mare shahr mia bhi nigahon se ojal ho kar..
Wafa Ki Aas Mein Hum Sabhi ka Saath Nibhate Rahe
Wohi Hum Ko Sada Yaad Aye Jo Hame Bhulate Rahe
Dil Viraan Tha Honton Per Hansi Sajate Rahe
Khush Fehmion Se Hum APne Dil Ko Behlate Rahe
Begane Ben Gaye Sabhi Jinhain Hum APna Banate Rahe
Sabhi Bewafa Thay Hum To Younhi Her Kisi Ko Aazmate Rahe