"TUM KO MALOOM B SHAYED HO K NA HO"
Meri ratain teri yadon sy sjee rehti h
Meri sansain teri
khushbo main basi rehti h
Meri ankhon main tera spna sja rehta ha
Haan mery dil main tera aks bsa rehta h
is terha k..
Mery dil k pas ho tum
"Tum ko maloom b shayed ye ho k na ho"
Mery angan men lage phool gwahi dain ge
Maine arsay se kisi phool ko dekha b nahi
Tum ko socha to phir tum he ko socha ha
Faqt tery siva kisi aur ko socha b nhi ab
Kuch khawab hain jin ko likhna hai
Tabeer ki surat deni hai
Kuch loog hain ujaare dil waale
Jinhain apni mohabbat deni hai
Kuch phool hain jinko chunana hai
Aur haar ki surat deni hai
Kuch apni neend baqi hai
Jisse bantana hai kuch loogon mai
Unko bhi to rahaat deni hai
Aae umer-e-rawan!
Ahista chal
Abhi khasa karz chukana hai.