USay Ye Kon Samjhaye ??

USay Ye Kon Samjhaye ??
USay Ye Kon Samjhaye ??

Wo Dasht-e-Khamoshi Mein

Ungliyo''n Mein Seepiya''n Pehne

Kisi Sookhey Samandar Ki Adhoori Pyaas Ki Baatei''n

Bohat Chup Chaap Sunta Hy

Bohat Khamosh Rehta Hy

Usay Kon Ye Samjhaye ??

Khushi k Ek Aansuu Se

Samandar Bhar Bhi Jaty Hyn

Bohat Khamosh Rehny Se

Ta''aluq Marr Bhi Jaty Hyn ...
  

May, 29 2010     340 chars (3 sms)     3216 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Ab Milein Gey To Khoob Rulain Gay Us Sang Dil Ko FARAZ,

Suna Hai Rotay Main Usko Lipat Jany Ki Adat Hai...
kon ujra ho ga bhari duniya mai hamari tarha.

tu b na mila humko aur khud ko b ganwa bethe.
Kamal-E-Zabt Ka MaaliK
Nazr Shanas Bhi Tha,

Bichar Raha Tha AchanK
To Ba''hawas Bhi Tha,

Labon Pe Khobsurat Tabasum Sajaye Phirta Tha,

Wo Ek Shakhs Jo Shayed Udas Bhi Tha,

Main Jis Ki Yaad Ki Parchayon Mein Gum Rehta Tha,

Wo Dastaras Mein Na Tha Or Mere Pas Bhi Tha..
kar kar k min''nten teri aadat bigar di..

danista tujhe hmne sitamgar bana diya...
Jab say teri chahJab say teri chahat at apni zindagi bana li hai
Hum nay udas rehna adapt bana li hai
Her din har raat kati hai teri yaad mein
Teri yaad hum nay ibadat bana li hai
Milne ka waada unke mon se to nikal hi gaya

MOHSIN ,,

Hum ne poochi jaga to hans k kaha khawab main aa jana ,,
Palko me kaid rehne do sapno ko,

Unhe to haqiqat me badalna he,

In aankho ki to ek hi tamanna he,

Ki har waqt aapko muskurate dekhna he
Dhadkan Hamari Tumse Jo Kahe,

Sanso Ko Bhi Uski Khabar Na Lage,

Bahut Khubsurat Hai Rishta Humara,

Duwa Hai Ise Kisiki Nazar Na Lage.
buhat mushkil hai terey dil pey apney dil k dard ki kahani likhna...

bilkul aisey hi jaisey behtey huwey paani pey''PANI"likhna.
-Uss bewafa larki se sawal-o-jawab--
Mein ne poucha
Yeh itni barish q baras rahi hai
Tu jawab aya
Tere aansuon se muqabila hai iss ka
Mein jab tufan ka sabab poucha
Tu jawab aya
Teri zaat ki hal-chal se hai mouwazina iss ka
Mein ne jab badal ki garaj ki javaaz chaha
Tu jawab aya
Teri aahaon se moushabihat hai iss ki
Mein ne ghta-toop andhery ke tahjub se dekha
Tu jawab aya
Tere haal-o-mustaqbil ki tasveer hai yeh
Be simt hawaon ko nhn roka karty..

Jo beet gaya osko nhe socha karty.

Suraj say kya pochty ho tapish iski.
"Wasi"

Dhoop say smandar nhn sookha karty.
Wo Aankhein
Meri Aankhein To Nahi Phir Bhi
Wo Jo Kuch Dekhti Hain
Dekhti Rehti Hain
Main Bhi Dekhta Hoon
Dekhta Rehta Hoon
Jis Se Rooth Jaati Hain
Main Us Se Rooth Jaata Hoon
Wo Jis Se Pyaar Karti Hain
Main Us Se Pyaar Karta Hoon
Wo Aankhein
Meri Aankhein To Nahi Phir Bhi
Wo Jo Kuch Sochti Hain
Sochti Rehti Hain
Main Bhi Sochta Hoon
Sochta Rehta Hoon
Jis Dam Muskuraati Hain
Main Us Dam Muskurata Hoon
Wo Jab Afsurda Hoti Hain
To Main Afsurdsa Hota Hoon
Wo Aankhein
Meri Aankhein Ho Nahi Sakteen
Magar Phir Bhi
Diwaana Hoon Jo Un Ko
Chaahta Hoon, Chaahta Hoon
Chaahta Rehta Hoon