Utha kay haath Khuda say

Utha kay haath Khuda say
Utha kay haath Khuda say bas maangi yahi dua
Naseeb hon khushiyan tumhain
tum khush raho sada
Tum ko rahat milay ,
tum ko chahat milay
Tumhain saray jahan ki muhabbat milay
Jahan main sab se hon achay tumharay naseeb
Koi dukh kabhi bhi na aaye qareeb tumharay
Dil ki har aarzooo poori Khuda karay
Tumhain chahnay walon ko kabhi bhi na juda karay
Mil jayen tum ko meray bhi naseeb ki khushiyaan
Dua hay bad tum ko kabhi gham na milay yahan ...
  

Jun, 05 2010     453 chars (3 sms)     3386 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Baharain phool barsati hain KHUSHI ke mosam me
Khushboo phelati hy chaman me is mosam me
Sanam miltay hain prem hota hy ummang se
Yeh basant ki bahar hy dil per is mosam me
Raaste aise ho jo chalne ko majboor kare,
Maikhane aise ho jo pene ko majboor kare,
Jab maut ka daman thamna chahe koi to,
Dost aisa ho jo jeene ko majboor kare.
le jayenge garai main tumko bhi baha kar.

darya k kinaron se mera zikar na karna.
Rudaad-e-muhabbat kya kahiye kuch yaad rahi kuch bhool gaye
do din ki musarrat kya kahiye kuch yaad rahi kuch bhool gaye


jab jaam diya tha saaqi ne jab daur chala tha mehfil mein
wo hosh ki sa''at kya kahiye kuch yaad rahi kuch bhool gaye


ehsaas ke maikhane mein kahan ab fikr-o-nazar ki qandilein
aalam ki shiddat kya kahiye kuch yaad rahi kuch bhool gaye


ab apni haqiqat bhi "Sagar" berabt kahani lagati hai
dunya ki haqiqat kya kahiye kuch yaad rahi kuch bhool gaye.................
Dekh Main Ho Gaya Badnaam Kitaabon Ki Tarah




Meri Tash-heer Na Kar, Ab To Jala Dey Mujh Ko!
"Khuwab bhi shayed kaanch se kamzor hote hain,

"("Mohsin")"

Her roz bikhar jaate hain faqat ik aankh k khulne se..
Wfa K Rooth Jane Pr Ghazal Takhleeq Hoti Hai

Kabhi Saajan Manane Pr Ghazal Takhleeq Hoti Hai

Main Lafzon K Samander Mein Mila Deta Hoon Sochon Ko

Phir Un Ki Yaad Aane Pr Ghazal Takhleeq Hoti Hai

Chaman Mein Raqs Krti Hai Sba Jab Phool K Aage

Tu Un K Muskurane Pr Ghazal Takhleeq Hoti Hai

Mujhe Aata Nhi Hai Sh''er Likhna Ek Bhi Lekin

Tumhari Yaad Aane Pr Ghazal Takhleek Hoti Hai... ;->
Mein ne Tume
Apni wafaon ki zanjeer se
Azaad kya

Khudara!

Ye mat puchna k
Mein ne khud ko
Tumhari qaid se
Azaad kia ya nahi

Yaqeen Jano!

Mein un qediyon mein se hun

Jo khulay darwazay dekh kar bhi
Farar nahi hotey...!!
Usay kehna usay hum yad kartay hayn,Diyey jeb shaam ki dehleez pe jalaye jatay hayn,Sitaray aasman pe jeb timtimatay haynShabnam k aanso se phool jeb nahatay hayn,Hum us dem apni aankhon mayn usay abad kartay hayn,Usay kehna usay hem teb yad kartay hay.
Wo mujh se bichar ha to usy khus rahnay do Muhsin.....
Mujh se Mill kar us ka Uddas hona mujhay acha nahin lagta..
ajab teri rafaqat me maza ata hai.

musalsal safer me rehne ko ji chahta hai

Kya faaida hua hai ab intezaar karke
Gardish mein aagaye hai..Hum tumse pyar karke
Iss daur mein Wafa ka..Hum karobaar karke
Sunnat nibha rahe hai..Dushman se pyar karke