Bekhudi Si Kya Hai, Har Lamha Thehra Hai,
Kitni Muddatse Koi Khwab Na Dekha Hai..
Ye Nazrein Tumhari Barsaye Behoshiyan,
Is Bekhudime Hum Bhul Jaye Do Jahan...
Dil lagi thi usay hum se mohabat kab thi
Mehfil-e-ghair se unko fursat kab thi
hum thay muhabat mein lut jany k qayal
us k wadon mein wo hakeekat kab thi
wo wakt guzari k liay karta tha pyar ki batein
warna meri khater us k dil mein chahat kab thi
kub kon kissi ka hota hai
sub jhote rishte natay hain
sub dil rakhne ki baten hain
sub assli roop chupate hain
ikhlas se khali log yehaan
lafzoon k teer chalate hain
ik baar nighahoon main akar
fir sari umr rulatey hain
Suna hai nazdeekiyaan ehsaas dilati hain..
dooriyan betaabi badhati hain..
par,
jab paas hote hain woh to hum betaab rehte hain…
door jaane par kyon unka ehsaas karte hain…
samandar ko tha garoor gehraayi par apni..
aasmaan ko tha garv oonchaayi par apni…
sharm se zaar zaar ho gaye dono….
jab unhe bataayi humne dosti apni…
Ajeeb Qarb Ka Alam Hai Meri Basti Par,
Ghata Bhi Chaai Hai Barsat Bhi Nahi Hoti,
Silay Hain Hont Koi Baat Bhi Nahi Hoti,
Ajeeb Rang Badalta Hai Asar Ka Suraj,