Kisi K Hijar Ka Phir

Kisi K Hijar Ka Phir
Kisi K Hijar Ka Phir Imtihan Toot Para
Hamare Dil Mein koi Makaan toot para
Bas Ik Lamhe ko Kamzor Per Gaye thy ham
Uss Ik Lamhe Mein Sara jahan Toot Para
  

Jun, 02 2010     158 chars (1 sms)     3089 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Guzar jain ge un k wo pal achey,

jinay hum intizar aur wo waqt kehty hain,

kia pata kon bhool jaye ye muhabbat,

jisay hum zindagi aur wo 1 lafz kehte hain
Buhat Udas Hai Koi Tere Chup Ho Jane Se...




Ho Sake To Bat Kar Kisi Bahane Se...
Aap Se Khafa Hokar Hum Jayenge Kahan
Aap Sa Sathi Hum Payenge Kahan
Dil Ko To Kaise Bhi Samjha Lenge Hum
Lekin Ankhon Ke Aansu Chupayege Kahan
Na Gham Hai Na Hai Ehsaas Khushi Ka.
Na Deed Hai Na Hai Intezaar Kisi Ka.
Main Tu Akela Chal Raha Hoon Andheron Main.
Ab Tu Ye Bhi Yaad Nahi Kab Hua Tha Samna Rosheni Ka.
khushiya bhi oos ke boondo ki tarah hoti hai
Sawera hote he din ke ujale me gayab ho jaati hai
yeh lamhe bhi oos ke boondo ki tarah gayab ho jayenge
kuch baaki kyu nahin bachta Sameer
Qarar De K Kabhi
Be-Qarar Kerty Ho
Galey Laga K Kaho
Kitna Pyar Kerty Ho

Nazar Nazar Sy Miley
Aur Khumaar Aa Jaye
Labo''n Sy Kuch Na
Kaho Aitbaar Aa Jaye

Ye Dil Tou Bharta Nahi
Chand Mulaqato''n Main
Kitne Tarasty Rahy
Bheegi Bheegi Raato''n Main

Taweel Rasta Kyun
Ikhtiar Kerty Ho
Galey Laga K Kaho
Kitna Pyar Kerty Ho !!
Abhi tum dil Ko rehne do Abhi chup chap sehne do ..Mohabat ab nahi ho gi . abhi Ashkoo k eendhan main tumharey khab jalte han .. mohabbat ab nahi ho gi ye kuch din baad mein ho gi ... jab ye din guzer jayen ge ye unn ki yaad main ho gi ...mohabbat ab nahi ho gi
ye ehtaraam to karna zaroor padta hai
jo tu kharide to bikna zaroor padta hai
Mairy marnay kay baad mairee ankhan kholee rahe

FARAZ

q kay mujy adatt see ho gaie thee tary intazar ki
Wo Sath Tha To Zamana Tha HumSafar Mera
Magar Ab Koi Nhi Mere Sath Ussay Kah Na

Ussay Kah Na K Bin Usske Din Nhi Katta
Sisik Sisik K Katti Hai Raat Ussay Kah Na

Ussay Pukaraoun K Khud Hi Poanch Jaoun Uske Pass
Nhi Rahe Wo Halat Ussay Kah Na

Her Jeet Uske Naam Kar Raha Hon "SaaMer"
Main Manta Hon Apni HAAR Ussay Kah Na
Gar Poochey Koi Mujh Sy Tere Ta''aluq Ki Nisbat

Nikaal K Dil Apna Hatheli Py Rakh Doon Ga.
kis ko qaatil main kahunn kis ko masiihaa samajhoon
sab yahaan dost hii baithe hain kise kyaa samajhoon

vo bhii kyaa din the kii har vaham yaqeen hotaa thaa
ab haqiiqat nazar aaye to use kyaa samajhoon

dil jo tootaa to kaii haath duaa ko uthe
aise maahaul main ab kis ko paraayaa samajhoon

zulm yeh hai kay hai yaqtaa terii begaanaaravii
lutf ye hai kay main ab tak tujhe apanaa samajhoon..