yehi taarey tumhaari

yehi taarey tumhaari
yehi taarey tumhaari aankh ki chilman mein rehtey thay
yehi sooraj nikalta tha tumhaarey baam se pehley


yay saarey rang murda thay tumhari shakl banney tak
yay saarey lafz mohmal thay tumhaarey naam se pehley
  

Jun, 02 2010     216 chars (2 sms)     2065 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Mey apni Zaat chor aya hun,
Hijr ki raat choor aya hun.
Chala aya hun us ki mehfil sey,

Kuch Shikayaat choor aya hunn.
Ki teri Baat ki qadardani,
Mey apni baat choor aya hun.

Rukhsat ho ker mein fani dunya sey,
Sub kharafat choor aya hun.
Ek asasa thay yey mera

Dil kay jazbaat choor aya hun.
"FIRQ SIRF ITNA SA HE"
TERE DOLI UTHI,
MERE MAYAT UTHI,
PHOOL TUJH PER BHI PARY,
PHOOL MUJH PER BHI PARY,
TU SAJ KE GAI,
MUJHE SAJAYA GAYA,
TU UTH KE GAI,
MUJHE UTHAYA GAYA,
SAHELIAN TERE BHI THI,
DOST MERE BHI THAY,
MEHFIL WAHAN BHI THI LAG YAHN BHI THE,
UUN KA HASNA WAHAN ,
IN KA RONA YAHAN,
DO BOL TERE PARHE,
DO BOOL MERE PERHE,
TERE NIKAH PERHAYA GAYA MERE JANAZA PADHAYA GAYA,
TUJHAY APNAYA GAYA,
MUJY DAFNAYA GAYA,
""FIRQ SIRF ITNA SA HE ""
dil k toot jane pr ab malal kia krna..?

pathron ki basti mein aaiene to tootain gy...!
mujhe ye gham nahi wo mujhse rotha hai wasi..

gham to bus ye he k ab uska khayal kon rakhay ga...
jo khayal thay sabhi jall gaye,

mere Lafz maani
Badal Gaye,


to meri nAzAr se he bojh le

Meri zindagi ki pahalian.
Nadaani mein hum kisse apna samajh beithe
jo dikhaaya uss bewafa ne sapna hum haqeeqat samajh beithe
dekho aaj chod diya hamein usne ek gair ke liye
jisse hum apna humsafar samajh beithe
hasee''aankhon ko parhne ka abi tak shoq hai mujh ko...

mohabbat main ujarr kar bhi meri aadat nahin badli..
Kitni mohbhat hai tumse humse bataya na gaya,

shyad tum samaj n sake ya humi se samjaya n gaya.

Tumne karib aane ki koshish na ki

aur humse haath badhaya na gaya.
Tumhay Daikha Nahi ,, Jana Nahi,,
Phir Bhi Lagta Hy,,
Qabeela Aik Hy Apna……


Wohi Dard-E-Judai Hy,,
Wohi Bheegi Hoi Palkain,,
Naseeba Aik Hy Apna…….


Kisi Sy Kuch Nahi Kahna,,
Koi Shikwaa Nahi Krna,,
Qareena Aik Hy Apna……


Kisi Ki Yaad Sy,,
Wirana-e-Dil Jagmaga Lena,,
Khazeena Aik Hy Apna……


Yaqeen Ki Aakhri Hud Tak
Milan Ki Khushgumani Hy
Nateeja Aik Hy Apna.....;->
Meri chahat ne usey khushi dedi,
badle me unse mujhe sirf khamoshi dedi,
khuda se dua mangi thi marne ki,
lekin usne bhi tadapne ke liye zindagi dedi!!
Sache dil se karo fariyaad to
Duniya ki har ek cheez milti hai.
Jis par khuda ki rehmat ho jaye
Use kaanto me bhi khushbu milti hai.
Tumain iss baat pe hai hyrat

k tuta hai hamara dil...

muqabil jab ho pather tou

sheeshy toot he jaty hain