Waqt ki adalat me
Zindagi ki surat me
Ye jo tere haatho me
Ek sawaal nama hai
Kisne ye banaya hai
Kis liye banaya hai
Kuch samajh me aaya hai
Zindagi ke parche ke
Sab sawaal laazim hai
Sab sawaal mushqil hai....
Kaash hame bhi koi samjhane vaala hota to aaj hum nasamajh naa hote kaash koi prem ki pyali pilane waala hota to aaj hum sharaabi naa hote kaash koi hum par jaan fida karne waala hota to aaj hum kaatil naa hote kaash koi hamare saath ghar basane waala hota to aaj hum beghar naa hote kaash koi hamare saath doosti karna wala hotatoo ajj beghar dooost ka na hota kaash Kuch hamaree bhi maqsad hote too ajj hmm beghar maqsad ka na hota shaayad accha hi hua ke koi bhi nahi hai nahi to aaj hum shaayar naa hote
Ik raat khuwab mein mein nay
Chand say poocha chupkay se
Aaj mujhay ek baat batao
Apnay dil ka haal sunao
Kya hai koi aisa
Jo tumko acha lagta ho
Dil k pas jo basta ho
Chand ne tera naam lia
Mein ne dil ko thaam lia
Jab se dekha hai yeh sapna
Tab say chand raqeeb hai apna