Guftugo Ke Lamhon Main
Dekh He Nahi Paatay
Ham Tumharay Chehray Ko
Tum Hamari Aankhon Ko
Aaj Aisa Kartay Hain
Chasm-o-lab Ko Parhtay Hain
Baat Chor Datay Hain
Jaane Kiya Lamha Hoga
Jab Ye Hath Hathon Say
Gar Kabhi Juda Hoga
Aaj Aisa Kartay Hain
Zabt-e-Jaan Parakhtay Hain
Hath Chor Datay Hain
Kash Koi Samjha Day
Loag Kis Tarah Dil Ki
Manzilain Alag Kar Kay
Saath Chor Datay Hain
Aaj Aisa Kartay Hain
Bey-sabab Bikhartay Hain
Zaat Taur Datay Hain...
"Parveen Shakir"
Hoon To Khafa Us SE, Per Janay Phir B Kiyn...? Na Chaah Kar Bhi Us Ko Chahna Acha Lagta Hai... Haqeeqat Se Hoon Dhoor, Ye Mujh Ko Hai Pata... Per Jaan K Anjaan Rehna Acha Lagta Hai... Qaayel Nahi Main Ronay Ki Phir B Kabhi Kabhi... Tanhai Main Kuch Dair Rona Acha Lagta Hai... Tu MERA Tha, Tu MERA Hai, Tu MERA Rahay Ga... Kuch Pal Is Khawab Mein Khona Acha Lagta Hai....!!