Agar yeh jan-na

Agar yeh jan-na
Agar yeh jan-na chaho koi kaisay bikharta hai
Chaman main ja kay khizaan main
Kabhii patton ko dekho tum
Ya phir ik aainaa lay lo
Ussay patthar pay giraa do
Agar mushkil hai tum ko
To kissi khoobsurat phool ko le lena
Ussay hawa kay dosh pay rakhna
To phir tum jaan jao ge
Koi kaisay bikharta hai
Agar yeh bhi na kar sako
To mairay paas aajaana
Mera deedar kar lena
Khabarr yeh ho hee jayay gee
Koi kaisay bikhartaa hai..........
  

Jun, 05 2010     443 chars (3 sms)     3106 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Kitni ajeeb baat hai k
wahi jo bachpan main
chiria k ghonslay say
girnay walay bachon ko daikh ker
bay chain ho jatey hain
aur pankhay say takra kar
mar janay wali chiria k sog main
kai kai ghantay udaas rehte hain
wahi baray ho kar na janay
kyun aashyanay jala daitay hain?
Humari ankh me Paanee Bahot Hai.
Ke Is Duniya me Beimaani Bahot hai..
Mohabbt humne kee Hai,Humse Poocho...
Mohabbat me Pareshani Bahot Hai....
chup rehkar hum mit chale,
or kho gaye tumhari rasili baaton me,
ab to din bhi hume raat nazar aati hai,
jab kho jate hai hum teri kali zulfon me.
Youn Gawara Nahi Jeena Bin tere Mujhe
Kyun Hai Juda Koi To Wajha Bata De
Kuch Aur Nahi To Kar Itna Karam
Jahan Tu Yaad Na Aye
Koi Aesi Jagha Bata de
Main kahin gum hoon
tum kahin gum ho

phir bhi esa lagta hai
har jagha main hoon

har jagha tum ho.....!!
Ik sersari si nazar wo mujh pe b daal dy,

Ae Rab-e-zuljlal usay itna khyal de,

Itna bi arooj kya k wo mil he na sake,

Wo ho sake mera usay itna zawal de...!
qasam un mast ankhoon ki main wo lub-raiz-sagar hoon..

jo masti main chalk jaoun,tu mehkhano ko lay dooboon...
Dil ki Raahon pe Chalna Asaan to Nahi

humsafar mukhlis ho to doorian Pal main mit jati haiN
Mujhe Kese Yakeen Aaye,


Mohabbat Tum Ne Bhi Ki Hy,


Tumhe Jab Bhi Kabhi Dekha,


Sada Khush Bash Hi Paya,


Hamesha Hansty Rehte Ho,


Kabhi Rote Nahi Paya,


Kabhi Ghamgeen Nahi Dekha,


Hamesha Mast Rehte Ho,


Mohabbat Karne Walon Par,


Kabhi Masti Nahi Chati,


Kabhi Ronaq Nahi Aati,


Na Wo Sarsabz Hote Hain,


Mohabbat Karne Walay Dil,


Hamesha Zard Hote Hain,


To Phir Kese Yakeen Kar Lu,


Mohabbat Tum Ne Bhi Ki Hy...
sahil k sakun se hme inkar nai magar..

tufanon se kashti nikalne ka maza aur ha,,
Raat sunti rhi mai sunati rhi,

Dard ki dastaan mai batati rhi,

Log,logoon se chahat nibhatay rahay,

Ik wo tha,jo maira dil jalata raha.
Dil ko aata hai jb bhi khayal unka

Tasweer se puchte hain phir haal unka

wo humse pucha karte thay judai kia hai,

aaj Humari samajh main aaya hai sawal unka