Jab wo mera NAAM

Jab wo mera NAAM
Jab wo mera NAAM Apne haathon ki LAKEERON mein;

TALAASH Kr k THAK Gaya To dheere se sir jhukaya Aur,

muskra k kaha

''''Lakeerein jhoot bolti Hain''''
  

Jun, 03 2010     159 chars (1 sms)     2449 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Dil Ki Aawaj Ko Izhaar Kehte Hai,

Jhuki Nigaho Ko Ikraar Kehte Hai.

Sirf Jatane Ka Naam Ishq Nahi,

Kisi Ki Yaado Me Jeene Ko Bhi Pyar Kahate Hai.
aankho me raha dil me utar kar nahi dekha,
kashti ke musafir ne samander nahi dekha,
yaaro ki yaari ka yakine kar liya maine,
unki baaho me chhupa khanjar nahi dekha.
Gham Agarcheh Kaseer Laya Hoon
Hoslay Bhi Khateer Laaya Hoon

Khaahishein Mukhtasar Si Rakhta Hoon
Dil Ghani-o-faqeer laaya Hoon

Kaisa Pagal Hoon Tairay Ghar Say, Mein
Khainch Kar Ik Lakeer Laaya Hoon

Saaray Logoon Say Payaar Hay Mujh ko
Aisa Roshan Zameer Laaya Hoon

Kaat Kar koh-e-Gham Ko, Ashkoon ki
Mein Bhi Ik Jooy Sheer Laaya HooN
kya tareef karu aapki, Jeet
Aap shabdon mein kahan sama paoge

Bas itna jaanlo ke jab bi baat chalegi Dosti ki
Meri aankhon mein aap hi nazar aaoge.
kahin na kahin koi na koi humare liye bhi bana hoga,
is baarish ki boondh ke liye koi to sip khula hoha,
apne sapno ke rajkumar se milne ki chahat he,
chupke chupke sunai deti is dil ko mohabbat ki aahat he.
Teri dosti hum iss tarah nibahein ge
Tum roz khafa hona hum roz manaien ge
Per suno,
maan jana manane se
Warna bheegi palkein le kar kahan jaien ge.
Iqrar mein kahan hy Inkar ki si khoobi ...

K barhta hy shauq-e-Ghalib un ki nahi nahi sy ..
AB Ke Kerna To Aesi Chahat Kerna
Jisko Aata Hee Na Ho Sikwa Shikayat Kerna
Pehly Khusbu Ke Mizaj Ko Parak Lo
Phir Gulistan Mein Kisi Gul Se Mohabbat Kerna
Aankhon Ke Kinare Humne Bhigoye Hi Nahi
Woh Sochte Hai Hum Roye Hi Nahi
Woh Puchte Hai Khwabon Me Kise Dekhte Ho
Hum Hai Ki Unko Dekhne K Baad Soye Hi Nahi
Kuch beete hue lamho se mulakat hui,
kuch tute hue sapno se baat hui.
Yyaad jo karne baithe un tamam yado ko
to apki hi yaado se shuruat hui.
na suno gar buraa kahe koii
na kaho gar buraa kare koii

rok lo gar Galat chale koii
baKhsh do gar Khata kare koii

bak rahaa huu’N junuu’N me’n kyaa kyaa kuchh
kuchh na samajhe Khudaa kare koii
Bana gulab to kante chubha gya ik shakhs,
Hoa chragh to ghar he jala gya ik shaks.
Tmam rang mere or sare khwab mere,
Fsana thay k fsana bana gya ik shakhs,
Palt sakon he na agay he barh sakon jis par,
Mujhy yeh kon se raste laga gya ik shakhs,
Muhabbataein b ajab us ki nafrtaein b kamal,
Meri he tarha ka mujh mein sama gya ik shakhs,