~*~ woh...mujhe mila hota ~*~
aasmaaN ke malik say
do jahaN ke raziq say
aur kuch nahin chaha
sirf itna manga hai
pur-khuloos chahat ka
bay reya muhabbat ka
bay panaah rayazat ka
itna to sila hota
woh...mujhe mila hota
Har Kisi se Nazar milaya nahi karte,
Youn kisi se dil nahi karte,
bahut poochenge log tumse hamari baatein,
yeh dil ki baatein hai,har kisi ko bataya nahi karte
Ishq k ilaqay mein
Hukm-e-yaar chalta hai
Zaabtay nahin chaltay
Husn ki aadat mein aajzi tu chalti hai
Martbay nahin chaltay
Dosti k rishton ki parwarish zaroori hai
Silsilay taaluq k khud say ban tu jatay hain
Laikin in shagoofon ko
Tootnay bikharnay say
Rokna bhi parta hai
Chahton ki matti ko
Aarazo k poday mo
Seenchna bhi parta hai
Ranjishon ki baton ko
Bhoolna bhi parta hai
Kyou k
Ishq k ilaqay mein hukm-e-yaar chalta hai
Zabtay nahi
Tumhe lakho ki bheed me pechanta hai koi,
din raat khuda se tumhe mangta hai koi,
tum khud se vakif nahi honge itne,
tumhe tumse bhi jyada janta hai koi.