Mujh ko teray Qurb ki khawahish tou hai mag

Mujh ko teray Qurb ki khawahish tou hai mag
Mujh ko teray Qurb ki khawahish tou hai magar.....

Ulfat ka jo Maza hai wo inhi Faaslon main hai..........
  

May, 28 2010     110 chars (1 sms)     4709 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Qissa abhi hijaab say aagay nahin barha...

Mein aap, wo, janab say aagay nahin barha...

Muddat huee kitaab-e-muhabbat shuru kiye...

Laikin mein pehlay baab say aagay nahin barha...

Lambi musafatein hain magar is swaar ka...

Paaon abhi rakaab say aagay nahin barha...

Logon ney sang-o-khisht k qilay bana liye...

Apna mehal to khawab say aagay nahin barha...

Tool-e-kalaam k liye mein ney kiye sawaal...

Wo mukhtasar jawab say aagay nahin barha...
Charagh Bujhtey Chaley Ja rhey Hain silsilawar....






main khud ko Dekh rha hoon Fasana Hotey hue
Khwaab Aur Haqeeqat Main

Farq Shayad Itna Hai

Khwaab Toot Jaata Hai

Haqeeqat Tod Deti Hai ....!!
Umer Guzri hy Jhulstay huay Sehraon main ''faraz''

kia krain Gay Teri deewaron ka Saya Le kr
Husn Jab Mehr’Baan Ho to Kyaa Keejiye,

Ishq Kii Magfirat Kii Du’aa Keejiye...
Hasti Ko Mohabat Mai Fana Kon Karega

Ye Farz Zamanay Main Ada Kon Karega

Hathon Ki Lakeroon Ko Zara Dekh Najoomi...

Yeh Dekh Mere Sath Wafa Kon Karega ????
Ek lamhe mai uss ne zindagi ujaar di,Ek lamhe mai uss ne zindagi sanwaar di,Qasoor uss ka nahi mera tha jo in hi dou lamhoun mai zindagi guzaar di.
Suno…!!!

Meri Aankhain
Khareedo Gay…??

(-_-)

Mujhay Ik
Khawab Ka
Taawaan Bharna Hai…
MIAN NY JANA HAI KY
MUHABBAT MAUSSAM NAHEE
APNI MUDDAT PORI KAREY
AUR RUKHSAT HO JAYE
MUHABBAT SAWAN NAHEE
TOOT KY BARSEY
MUHABBAT AAG NAHEE
SULGY BHARKEY
AUR BUJH JAYE
MUHABBAT AAFTAB NAHEE
UBHREY CHAMKY
AUR DHAL JAYE
MUHABBAT TOU CHAND KI MANIND HAI
JO BARHTA HAI
GHAT''TA HAI
NIKLTA HAI
CHUPTA HAI
MAGAR..
KABHI FANNA NAHEE HOTA!
zindgi tum yaheen kahein rehna.

main zamana badal k aata hon..
Mujhay tum yaad aatay ho

Muqaddar k sitaaron per

Zamaaney k ishaaron per

Udaasi k kinaaron per

Kabhi veeraan sheyhron mein

Kabhi sunsaan raston per

Kabhi hairaan aankhon mein

Kabhi be-jaan lamhon per

Tumhaari yaad chupkey se

Koi sargoshi kerti hai

Yeh palkain bheeg jaati hain

To aansu toot girtey hain

Hum palkon ko jhukatay hain

Ba-zaahir muskuratey hain

Faqat itna hi kehtay hain

Mujhey kitna satatey ho

Mujhey tum yaad aatey ho

Mujhey tum yaad aatey ho...!
jo khayal thay sabhi jall gaye,

mere Lafz maani
Badal Gaye,


to meri nAzAr se he bojh le

Meri zindagi ki pahalian.