Usay janay ki juldi thi
Mujhe us ne bataya tha
Mohabbat karne wale pyar main dhoka nahi karte
Jub koi baat karta ho usay toka nahi karte
Jisay janay ki juldi ho usay roka nahi karte
Unhi batoon batoon main
Mujhe ab yaad aya hai
Usay janay ki juldi thi
tumhe apne dil me basahea hai me na
khtaha hai yeh mere yehe juram hai mera
jo chaho mohabat ki ab tum saza do
bhot muj ko is me bhe rahiat mele ge....
Dil ko seene mein dabaye rakha per dhadakta sirf tere liye ye dil,
Tera toh naam hai mere iss dil, awaas teri bhi yahan hai iss dil,
Aaaja mere tuh iss dil, ki mil jayen phir yeh do dil,
Tujhko phir na karne dun mein shikwa ki humdono hain ek dil !!
Jo Meri Ankho Pe Marta Tha Meri Baton Pe Marta Tha Na Janay Shakhs Tha Kesa? Mujhy Khony Se Darta Tha Wo Jab B Bat Karta Tha Yehi Har Bar Kehta Tha Suno Agar Me Bhol Jaon To Agar Me Roth Jaon To Kabhi Wapis Na Aon To Bhula Pao Gay Sab Kuch Kia Yohi Hanste Raho Gay Kia? Yohi Sajte Raho Gay Kia? Yehi Baten Thi Bus Uski, Yehi Yaden Thin Bus Uski Muje Malom Hay Bus Itna “Yaar ” Muje Wo Piyar Karta Tha Muje Khony Se Drta Tha
Chup Rehte To Dum Ghut-ta Aur Dard Zada Hota
Kuch Moo Se Nikal Jata Tou Koi Khafa Ho Jata
WO Jab Bhi Zaara Rotha Chup Behte Rahe Hum Bhi
Aik Baar Mana Lete Tou Roz Khafa Hota