Zehar daitay hain aur kahtay hain k lena ho ga,
jab main le loon to kehtay hain k peena ho ga!
jab main pee loon to kehtay hain martay kiun nahi?
jab main mar jaon to kehtay hain jeena hoo ga!
dis shair is nt mine
Raat ki gheri khamoshi main
chupkay se dheemay se
sergoshi main
koi mujh se bola
suno!
tum wohi ho na jo raat hotay he
meri Ankhon mai utar aati ho
meri aankhon mai jugnoon ki tarha
roshan ho jati hai
ek roshan taray ki tarha
neendo main utar aati ho
tum wohi ho na?
Main boli
haan main wohi hon
Woh bola…bohut buri ho
meri neenden ura ker
khud chain se so jati ho…
dareeja yad ka khulty he sab kch lot ata hai
purany manzaron ko ankh phir sy dekh pati hai
teri tasveer banti hai teri awaz ati hai
galt hai yeh!!
k koi guzy kal my jee nhi sakta
sarabon my bany daria sy pani pe nhi sakta
MUJY DEKHO.............
Dilo me aarzu ke diye jalate rahenge,
Aankhon se aansu nikalte rahenge.
Tum shama bankar dil me roshni to karo,
Hum mom bankar uhee pighalte rahenge....