Aziyyat , maseebat , mlamat , balaein

Aziyyat , maseebat , mlamat , balaein
Aziyyat , maseebat , mlamat , balaein
Tere ishq mein hum ne kia kia na dekha
  

May, 29 2010     77 chars (1 sms)     2312 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Na.. Chaho Kisi Ko Itna Ki,
Chahat Tumhari Majburi Ban Jaye
Chaho.. Kisi Ko Itna,
Tumhara Pyaar Uske Liya
Zaruri Ban Jaye..
Kismat mian muhbat bhi ajeeb mili.

usne muhbat ka agaz zara marne se pahle kya.
hai nisf e shub wo dewana abhe tak ghar nahe pahuncha,

kisi say chandni ratoon ka qisa chirr gaya ho ga!
Yon meri Aankhon mein SAwan ki Jhari rehti hai
Jeyse Kashti koi Darya mein Khari rehti hai
Hall ye hai k Teri Yaad mein eysa ghum hon
SAb ko meri aur mujey Teri pari rehti ha
Aaj Bhi Ek Sawal Hai is DIL Me,

Pyar Ka Gam Beshumar Hai is DIL Me,

Kuch Keh Nahi Pata Ye DIL Magar

Kisi Ke Liye Bahut Pyar Hai Is DIL me
Wafa Ki Dastaan-E-Gham Chalo Tum KO Sunatey Hen
Jo Dil Per Daagh Hen Apney Chalo Tum Ko Dikhatey Hen,

Sunoo Neendein Nahi Aatin K Dil BeTaab Rehta He
Kabhi Titlii K Kachey Rang Kabhi Jugnoo Satatey Hen,

Kabhi Jab Shaam Hoti He, Andheron Se Khafa Ho Kay
Teri Yadoon K Mandir Mein Charaagh-E-Shab Jalaatey hen.
usne sub kuch jaan k bhi mujhe maaf kar daya..

meri maa ne matha choom kar aaj phir mujhe sula daya..
buhat mushkil hai terey dil pey apney dil k dard ki kahani likhna...

bilkul aisey hi jaisey behtey huwey paani pey''PANI"likhna.
Bana Gulab Tu Kaantay Chubha Gaya Aik Shakhs
Howa Charagh Tu Gher Hi Jala Gaya Aik Shakhs

Tamaam Rang Meray Aur Saaray Khwab Meray
Fasana Thay Ya Fasana Bana Gaya Aik Shakhs

Main Kis Hawa Main Uron Kis Faza Main Lehra’on
Dukhon K Jaal Her So Bicha Gaya Aik Shakhs

Palat Sekon Na Hi Aagay Berh Sekon Jis Per
Mujhay Yeh Konsay Raastay Per Laga Gaya Aik Shakhs

Muhabbatain Bhi Ajab Uski Nafratain Bhi Kamaal
Meri Hi Tarah Ka Mujh Main Sama Gaya Aik Shakhs

Muhabbatoon Ne Kisi Ki Bhula Rakha Tha Usay
Milay Woh Zakhm K Phir Yaad Aa Gaya Aik Shakhs

Woh Maahtaab Tha Marham Badast Aaya Tha
Mager Kuch Aur Siwa Dil Dukha Gaya Aik Shakhs

Khula Yeh Raaz K Aayeena Khana Hai Dunya
Aur Is Main Mujh Ko Tamashaa Bana Gaya Aik Shakhs
suna hoga bohat tum nay
kahin aankhon ki rim jhim ka
kahin palkon ki shabnam ka
parha hoga bohat tum nay
kahin lahjay ki baarish ka
kahin sagar k ansu ka
magar tum nay kabhi ham dam
kahin dekhay? kahin parhay?
kisi TAHREER k ansu?
mujhay teri JUDAAI nay
yah mairaaj bakhshee hai
k main jo lafz likhta hun
wo saray lafz routay hain
k main jo hurf bunta hun
wo saaray batain kartay hain
meray sang is judaai mein
MERAY ALFAAZ martay hain!
sabab rony ka wo poochain to bs itna keh dena,

mujhy hasna nahi aata jahaan par tum nahi hotay..
Rang hay, phool hay, khushbu hay, saba hay koi...

Mausam-e-gul ki tarah hum say mila hay koi...

Aik rishta jo lafzo''n may bayaa''n ho na sakay...

Hum kaun hai''n us k, aakhir hamaara kya hay koi..!