Mujh se vaaqif to mere

Mujh se vaaqif to mere
Mujh se vaaqif to mere jism ka saayaa bhi na tha
Kaisay ho jata tumhara main khud apna bhi na tha

Jitna mayuus hai woh shakhs bikhar ker mujh se
Itni shiddat se to main ne usay chaaha bhi na tha

Jaisay ilzaam lagaye hain mere sar us ne
Aisi nazaron se to main ne usay dekha bhi na tha

Meri aawaaz ka gham sheher ne jana kyunkar
Main to us bheer mein khaamosh tha bola bhi na tha..........;->
  

Jun, 04 2010     408 chars (3 sms)     2412 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Kisi K Hijar Ka Phir Imtihan Toot Para
Hamare Dil Mein koi Makaan toot para
Bas Ik Lamhe ko Kamzor Per Gaye thy ham
Uss Ik Lamhe Mein Sara jahan Toot Para
Zindagi mein tou nahi to yeh aarzu kis K liye
ye Mohabbat Nahi to Phir ye Justuju Kis K Liye
Mein Tujhe Dekha Keron Tu mujhe Dekha kery
Agar ye Nahi to Ru-bu-ru kis k liye
Dil-bari k tere chur-chy mein ne suny
Tu mera Dilbar nahi tou phir hai tou kis k liye
Her Ghazal mein n eperhi hai jaan-e-Jaa''n tere liye
Tu agar sunta nahi to phir ye guftugu kis k liye
Mumkin Jo Agar
Hota,

Hum Tum Ko Bhula
Detay,

Tanhaai Mein Jee
Letay,

Tum Ko Na Sada
Detay,

Is Dil Se
Dil Tak,

Deewaar Utha
Detay,

Mumkin Jo Agar
Hota,

Hum Tum Ko Bhula
Detay ....
Beinteha pyar karte hai hum aap se,
Par ishar na karenge kabhi,
Kuki humne kasam khaye hai ke,
Dubara khud ko ruswa na karenge kabhi
hAr chnd k hum Akhlaas ka Daawa nhi krte



Hum se milo Gay to Hamain mukhlas paoge
Jagti aankho me ek khuwab aaya,
koi humdard hai mera yeh khayal aaya.
chot lagi dil pe toh dhiyaan aaya,
kal bhi tanha the aaj bhi khud ko tanha paya.
hum se bicher k uska takabur bikhar gya faraz
har ek se mil raha hai bari ajzi k sath
Usey Main Bhool Jana Chahta Hoon
Suno ! Main Muskurana Chahta Hoon
Dukhi Rehnay Ki Aadat Ho Gai Hai
Mager Ab Gungunana Chahta Hoon

Puraney Sab Taluq Toor Ker Ab
Nai Duniya Basana Chahta Hoon
Woh Nazmen Paaon Se Lipti Hain Lakin
Main Un sey Jaan Churana Chahta Hoon

Woh Sab Tohfey Woh sookhey Phool Sarey
Main Ab Un Ko Jalana Chahta Hoon
Main Utna Pass Aata Hoon Tumharey
Main Jitna Door Jana Chahta Hoon

Mere Hamdam, Haqeeqat Hai Yeh Meri
Main Teray Pass Aana Chahta Hoon
Ubhrney Ki Koi Khahish Nahin Hai
K Ab Main Doob Jana Chahta Hoon
bhanp jaye na kahen dil ki lagi ye dunia..

yun shafaq ban k mare chahre pe tehra na karo..
Yahin se laut chalo
wasta KHUDA ka hy

k Ab ana ka nhi
Muamla BQA ka hy

Ye or baat hy k jukh gaye
Teri MOHABBAT me

Wrna Hm me b GHURUR
Intiha ka hy
ehsas na kar in jazbon ka,nazron se gira be-shak lekin,,

jeena bhi mujhy dushwar lagy,itna to nazar andaz na kar..
Jab bhi chaho mere khawabon main chali aana,ho k shamil meri sanson main,meri rooh main utar

jana,tume ijazat hai jab bhi chaho,chandni ban k mere kamray ki khuli khirki say qadam

barhati hoi ahista ahista dabay qadmon say chali ana,main us roz dua krunga,wo shab jo

tumhare sath basar ho,kisi bhi tore agli sadi say kam na ho.