Aik aik kar k,dubtay ja rahe hain sitaray,aur chand bhi kahin chup gya hai,main tumhara intizar kerte kerte thak gya hon,chali ao,chali ao k ab zindagi tumharey bin guzarti hi nhi,chali ao k ab mere seene main chupa,karb angari lay raha hai.!
Main teri chahton ka ahtram karta hon, main teri azmaton ko salam karta hon, Mil jain tujhy jahan ki sab khushian, or gham sary mein apne naam karta hon, Din to kat he jata hai mera dunya k kamon mein, Raat ko teri tasveron se kalam karta hon, Mangta hon mein khuda se teri mohabat, mein to bas in he duaon ka ahtamam karta hon, tum se shuru hua meri mohabat ka safar, tum per he apni mohabat ka ikhtetam karta hon.