waqt_e_rukhsat jaldi mein

waqt_e_rukhsat jaldi mein
waqt_e_rukhsat jaldi mein dil apna laina bhool gayee







koi jaye jo uske shehar to dil mera lay aaye zara
  

Jun, 02 2010     118 chars (1 sms)     2841 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Dur nigahonse baar baar jaya na karo,

Dilko is kadar tadpaya na karo,

Tum bin 1 pal bhi ji na sakenge hum,

Ye ehsaas baar baar dilaya na karo....;->
itanaa TuuTaa huun ki chhune se bikhar jaongaa
ab agar aur duaa doge to mar jaauungaa

lekar meraa pataa vaqt raayagaa na karo
main to banjaaraa huun kyaa jaane kidhar jaauungaa

is taraf dhundh hai jugnuu hai na chiraaG koii
kaun pahachaanegaa bastii mein agar jaauungaa

zindagii main bhii musaafir huun terii kashtii kaa
tuu jahaan mujh se kahegii main utar jaauungaa

yahaan rah jaayenge guldaano mein yaadon kii nazar
main to Khushbuu huun fizaaon mein bikahr jaauungaa
chalo dunia ko choor chalen

""sagar""

suna hai log boht yaad krte hain chaley jane k baad..
Leta Hoon Tera Naam Tou
Ulajh Jata Hoon Saanso''n Se

Samajh Nahi Aata Zindagi
Saanso''n Se Hy Ya Tere Naam Se ...
Tere Milny K Mausam Lamhy Phool Jesy

Magar Phoolo''n Ki Umrai''n Mukhtasir Hyn
Dil k arman ko dil me sula na dena

apni khubsurat aankho ko rula na dena

kal kisne dekha he

aakhir hum na rahe to hume bhula na dena.
Be sabab be waja kiyu dil jalate ho
tod ker dil mera fir pas bulate ho

tum se hoker khfa jab ham rooth jai ger
apni baho main bherke pyaar fir jatate ho
besabab be waja...

kiya karo kiya na karo kuch samjh main aye ata
mujh ko lagne laga hai tum bhut satate ho

kiya samjh pai ham pyaar ko tere woh sanam
darde dil dil ka tum had se badate ho

hayera hoke ham door jab jate hai
apni majboriya bata ker fir hame samjhate ho

tera andaze bayan kabhi kuch tu kabhi kuch khta hai
ham ko lagne laga hai ke tum hame khoob banate ho

besabab be waja kiyu dil jalate ho
tod ker dil mera fir tum muskorate ho
"Tujhe bholkar bhi na bhool payenge hum, Bas yehi ek wada nibha payenge hum, Mita denge khud ko bhi jahan se lekin, Tera naam dil se na mita payenge hum..
Tujhe Kaise Bhulata Main?

Tujhe Main Bhool To Jata

Magr Tere Ta''aluq Se

Jo Chahre Samne Aaye

Jo Raste Samne Aaye

Jo Lamhe Samne Aaye

Jo Rishte Samne Aaye

Unhain Kaise Bhulata Main?

Tujhe Kaise Bhulata Main?
main tu jala na saka en tohfon ko tumhe bahj raha hun..

tum jala sakte ho en ko kayonk tum tu pathar dil ho..
lafz likhta hou to ehsas likha jata hai dard likhta hoon
to piyas likha jata hai mere zameera se wakif hai youn
kalam mera mohabbat likhta hou to tera naam likha jata hai
jab kabhi
koi yaad
achaanak ankhein chabho jae
to meri hatheliyon ke lams ki baaz gasht
honton se lagaana
use saanson se garm karna
or palkon ko band kar ke
ankhon se choom lena