Kuch apni fiker na apna

Kuch apni fiker na apna
Kuch apni fiker na apna khayal karta hoon
Tu kya yai kam hai teri dekh bhaal karta hoon


Meri jaga per koi aur ho tu cheekh uthe
Mein apne aap se itne sawaal karta hoon


Ager malaal kisi ko nahi mera na sahi
Mein khud bhi konsa apna malaal karta hoon


Yai chand aur sitare rafeeq hain meray
Mein roz unn se bayaan apna haal karta hoon


Tumhari yaad bhi aati hai abb mujhe kam kam
Tumhara ziker bhi abb khaal khaal karta hoon
  

Jun, 07 2010     446 chars (3 sms)     3466 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Us k Siva koi mere jazbaat me nahi,

Aankhon me wo nami hai jo barsat me nahi,

Pane ki Usse koshish bohat ki magr

Shayad Wo ik lakeer mere Hath me nahi.¿?
Soch Samjh Lena Qadam Uthanay Se PEhlay

Kahi Kho Na Jao Manzil Anay Se Pehle

Mukhliss Dost Se Marhoom Na Ho Jao Kahi

Yeh Soch Lene Usay Azmanay Se Pehle

Tumharay Siny Me B Darkhta Hai Ek Dil

ye Soch Lena Kisi Ka Dil Dukhanay Se Pehle

Umar Br Kon Kisi K Liye Rota Ha

Log Sirf Rotay Hain DAFNANAY Se Pehlay
subhu khud ko kholta hon rasi apny paon ki,

din dhaly khud ko kahen se pakr kar lata hon main,
choo rahe thay zalimoon ke sir mere paaon ke saht,
kis qadar uncha tha mein sooli pe charh janay ke baad.
Zamanay Bhar Ki NigahOn Main Jo Khuda Sa Lagay
Wo Ajnabi Hai, Magar Mujh Ko Aashnaa Sa Lagay



Na Jaanay Kab Meri Duniya Main Muskuraye Gaa
Wo Aik Shakhs K KhuabOn Main Bhi Khafa Sa Lagay


Ajeeb Cheez Hai YaarOn, Ye ManzilOn Ki Havas
K Raahzan Bhi Musafir Ko, Rah-Numa Sa Lagay


Dil-e-Tabaah! Tera Mashvara Hai Kia, K Mujhay
Wo Phool Rang Sitaraa Bhi, Be-Wafa Saa Lagay


Hui Hai Jis Se Munavvar Har Aik Aankh Ki Jheel
Wo Chaand Aaj Bhi Mujh Ko Kam Numa Sa Lagay...
Mere haathon se gir gayi lakeeren kahin,
bhool aaye hum apni takdeeren kahin.
Agar mile tumko kahin to utha lena,
mere hisse ki har khushi apne haathon pe saja lena
Dekhi jo Meri Nab''z to Ik Lamha Soch kar.
Kaaghaz liya Aur Ishq ka Beemar Likh Diya.
ek lafaz mohabbat ka adna yeh fasana hay
Simtay toh dil e aashiq phaylay toh zamana hay
Dil me khuda hai,

Ankho me Nasha hai,

Baato me Mazaa hai,

Chahat me Adaa hai,

Andaz bhi Juda hai,

Pyar me Wafa hai,

Are Yaar

isliye sub hum pe fida hai.
Toot Jate Hai,
Bikhar Jate Hai,
Kaanch Ke Ghar Me Muqaddar Apne...

Ajnabi To Sadaa Pyar Se Milte Hai,
Bas Bhool Jate Hai Aksar APNE!!
Teri ulfat ko kabhi nakam na hone denge teri dosti ko kabhi badnam na hone daingayn meri zindagi me suraj nikle na nikle teri zidagi me kabhi sham hone na denge
Kamal Ka Shaks Tha Jiss Ney, Meri Zindgi Tabah Kar Di
Raaz Ki Baat Tu Ye Hai Key, Dil Us Se Khafa Ab Bhi Nahi..