kaash wo pal sang bitaaye na hote,
jinko yaaad kar aaj ye aansu aaye na hote,
khuda ko agar is tarah door le jaana hi tha,
to itni gahraayi se dil milaaye na hote…..
Lafzon ki tarah tu mujh se kitabon mai mila kar Duniya ka tujhe dar hai to khawabon mai mila kar Phuloon se khushbu ka taaluq hai zaruri. Tu mujh se mehak ban k gulabo mai mila kar...
Log samajhte hain humne unko bhula rakha hai,
wo kya jane ki dil me chupa rakha hai,
dekhe na koi usay meri aankho mein,
isliye palkon ko hum nay jhuka rakha hai.