Piyar dhoondnay walo
matti ki moorat main
bholli bhaalli soorat main
piyar kesay milta hai
yeh tu jaan lo pehlay
yeh tu jaan lo pehlay
roo rahi hai shehnaii
bheer main hai tanhaii
rooknay se ruktay hain
kab bhala yeh herjaii
rishtay kachay dhagay hain
yeh tu maan lo pehlay
yeh tu maan lo pehlay
benaam logon k
kitnay naam hotay hain
yeh bhi us ki qudrat k
kesay kaam hotay hain
kiun yeh aisay hota hai
yeh tu jaan lo pehlay
yeh tu jaan lo pehlay
bewafa zamanay main
piyar dhoondnay walo
matti ki moorat main
bholi bhaali soorat main
piyar kesay milta hai yeh
yeh tu jaan lo pehlay
yeh tu jaan lo pehlay
ab kis say kahein aur kon sunay jo hal tumharay bad huwa is dil ki jheel si akhon mein ek khuwab bohat barbad huwa is shehar mein kitnay chehray thay kuch yad nahi sab bhool gay ek shakhs kitabon jaisa thaw oh shakhs zabani yad huwa
Usko
Bade khuloos se
Samjhaya tha
Yeh muhabbat, yeh chahat
Yeh rooh ,yeh jism
Yeh jan
Sab kisi ke amanat hain
Mere pass
dene ko kuch bhi nahin hai
Usne khamooshi se
Mere bahte huye ashkoon ko
Apni hatheli per saja liya
Aur yeh
kahte huye chal di
Mujhe mere jeene ka
Sahara mil gaya