wafa ke wadey w

wafa ke wadey w
wafa ke wadey wo sarey bhoola gaya chup chaap
wo mere dil ki dewaarein hila gaya chup chaap

gham_e_hayat ke taptey houey biyabaan mein
humein chor ke wo tanha chala gaya chup chaap

na janey kon sa wo badnaseeb lamha tha
jo gham ki agg mein mujh ko jala gaya chup chaap

mein jiss ko choota hoon wo zakham deta hai
wo phool aesey chaman mein khila gaya chup chaap!!
  

Jun, 05 2010     378 chars (3 sms)     3252 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Mere dukh kii koii davaa na karo
Mujh ko mujh se abhii judaa na karo

Naakhudaa ko khudaa kahaa hai to phir
Duub jaao, khudaa khudaa na karo

Ye sikhaayaa hai dostii ne hamen
Dost banakar kabhii wafaa na karo

Ishq hai ishq, ye mazaak nahiin
Chand lamhon men faisalaa na karo

Ashiqii ho ya bandagii ''Sameer''
Be-dilli se to ibatidaa na karo
Kuch iss adaa se aaj wo pehlu-nasheen rahe
jab tak hamaare paas rahe hum nahin rahe

imaan-e-kufr aur na duniya wa deen rahe
ae ishq shaadabaash ki tanha hameen rahe

ya rab kisi ke raaz-e-mohabbat ki Khair ho
dasht-e-junoon rahe na rahe aasteen rahe

jaa aur koi zabt ki duniya talaash kar
ae ishq hum to ab tere qaabil nahin rahe

mujh ko nahin qubool do aalam ki vusatein
qismat mein ku-e-yaar ki do gaz zameen rahe

dard-e-gum-e-firaaq ke ye sakht marhale
hairaan hoon main ki phir bhi tum itne haseen rahe

iss ishq ki talaafi-e-maafaat dekhna
rone ki hasratein hain jab aansu nahin rahe.
Ajeeb Shisha Gar Hain Es Duniya K Logg...

Murammat Kanch Ki Karty Hain Pathr K Ozaaron Se...!
Pakad Ke Jugnoo Roshni Ke Liye,

Dill Tarastaa Hai Ab Zindagee Ke Liye..
Uski yadon mein uski baton mein
Us ki duaon mein kahin mera aks to jhilmilata hoga
Lakh masroof hoga apnay kamon mein woh
Par ik pal to meri yad mein bitata hoga
niklta hi nhi mera wjood tri yad se..

mil kyu nhi jata akhir tu kisi fryad se..

kya zruri hai mai roz toot k bikhra krun..

na le mera imtehan is andaz se.
Is Waqt Tabaahi K Kareeb Hai Kashti Meri..
Lehro Zara Tez Baho, Mujhey Tootney Ka Shauk Nahi!!
Mana ke aaj hum akele rah gaye.
Judai ke ansu ankhon se beh gaye.
Rote Rahe kon chup karae ga.
Jo chup karatay thay Wahi rone ko keh gaye
Zindgi pr kitab likhun ga

Us me sare hisab likhun ga

Pyar ko waqt guzari likh kr

Chahton ko azab likhon ga

Hui barbad mohbt kaise

Kaise bikhre ha khuwab likhon ga

Apni khwahish ka tazkra kr k

Us ka chehra gulaab likon ga

Me us s judai ka sabab

Apni qismat khrab likhon ga
Us nay kaha mugh say tumain kitna pyaar hia
main nay kaha sitroon ka koi shummar hia

uss nay kaha kon sa tohfa doon tumain
main nay kaha woh shaam jo ab tak udhaar hia
raqeebon k sath baithe hai woh mohshin,,

kaise krun salam smjh mai nae ata.
kya chupaye ga naqab us k shaba ko GHALIB...

nigah-e-ishq se pathar bhi toot jate hain.