khud ghar jala ke

khud ghar jala ke
khud ghar jala ke khud hi tamashaiyoon mein hoon
jub se suna hai mein tere shedaiyun mein hoon

har ik nafas ke saath mita jiss ke wastey
uska bayan hai ke mein harjaiyun mein hoon

ae dost tu ne mujh ko kyun gira diya
socha nhin ke mein teri tanhaiyun mein hoon

har simat dhood dhoond mujhe dhoondney waley
mein hi toh teri tooti houi angraiyun mein hoon

iiss dil ke zakham kabi sil na payeingey
behtey lahoo ke josh ki garmiyun mein hoon

mujh se juda ho reh na payega tu ik din
mein sansoon ki bajti houi shehnaiyun mein hoon!!
  

Jun, 05 2010     548 chars (4 sms)     2863 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Mausm ki Fiza aaj bhi
Purkaif he

Pr Guzri hui Brsaat ki
Hasrt nahi jaati.
Tu Kisi Aur k Liye Hoga
Samandar-e-Ishq

hum Tou Roz Tere Sahil
Se Pyase Guzar Jate Hyn !!
jin ka ireeda ho umar bhar,saath nibhane ka jana..,

wo janaazey ke peeche janaaza laga dete hain...
ranj e safar ki koi nishani to pas ho....

tori c khaak e koocha e dilbar hi le chalein....
Mere Aanso Mere Ander Girtey Hain...
Jaise Darya Beach Samandar Girtey Hain...



Teri Yaadein Wo Tufaan Uthati Hain...
Aik Aik Kar Ke Sare Manzer Girtey Hain...



Kitni Lehrain Shero Mein Dhal Jati Hain...
Souch Ke Pani Mein Jab Pathar Girtey Hain...



Hum Ne Thokar Kha Kar Chalna Sekha Hai..
Aur Hain Wo Jo Thokar Kha Kar Girtey Hain...




Roone Wale... Ye Tuj Ko Malum Nahi...
Tere Aanso Mere Dil Par Girtey Hain...



Tum Bas Us Ka Rog Laga Kar Bheatey Ho...
Sapnoo Ke Ye Ghar Tu Aksar Girtey Hain...
PIYAR KA MAZHAB

"Aik hi dherti per kerte hain , dono rain basera bhi
Neel gagen kay saiy tale gher tera bhi gher mera bhi

Rang-o-nasl ka jghra kaisa, kumba ik, qabila ik
Tere khun ka lal hay rang, vaisa hi rang mera bhi

Tera mera mazhab kaisa, piyar hi sab ka mazhab hay
Ik khuda hay tera bhi,or tera khuda hay mera bhi

kon kisi ka dost hoa, jab haat main sabke khunjer ho
Bund patari main rekhta hay apna saanp sapera bhi

Diar hoi jab burq, giri thi, abtek vehshet tari hay
Thek ker soorej, dobe ga, to chaiy ga andhera bhi
Tum jo her baat pay daitay ho prindon ki misaal...

Is ka matlab hai tere shehr say hijrut ker lon?
Raaz-E-Ulfat Chupa Ke Dekh Liya
Dil Bahut Kuch Jalaa Ke Dekh Liya
Woh Mere Ho Ke Bhi Mere Na Huai
Un Ko Apna Bana Ke Dekh Liya
Kash mein ek shaayar hota,
kaash yeh dil ki baat kehpaata,

Labon tak aake ek baat ruk gayeethi,
zindgiki yeh daastan waheen tham gayeethi,

kaash who mere dilke ashk sun pateee,
kaash mein ek shayar hota.
kabhi wo hum pe jaan dia karti thi
jo kehtay they wo maan lia karti thi

kal anjaan ban kar paas se guzar gai
Woh jo door se pehchaan lia karte thi…
Sunte hai ki mil jati hai har cheez dua se,
Ik roz tujhe bhi mang kar dekhenge khuda se.
Duniya bhi mili hai ghame duniya bhi mila hai,
Woh kyun nahi milta jise manga tha khuda se.
ghar likhoon kabhi kahani zindagi ki, terey zikr sey shuru karoon terey naam pe tamam kar doon,

kya karoon boht khuddar sa aashiq hoon,warna jahan sey mangoon tujhe aur apney naam kar doon