Un ki chahat me hum

Un ki chahat me hum
Un ki chahat me hum zamana bhool gaye,


Un k baad kisi ko apnana bhool gaye,


Unse muhabat hay bataya sare zamane ko,


Bas yehi ek baat unhen batana bhool gaye,
  

Jun, 04 2010     172 chars (2 sms)     2986 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Meray dard ki kahani meri hasraton sey poocho,
Mein luta hoon kaisey meray doston sey poocho,
itna aasan nahe hai shaher-e-muhabbat ka pata"guriya"

khud bhataktay phirtay hai yahan raah bataney walay...
Agar Safar main Hamara bhi hamsafar hota,
Bari khushi se in hi Pattharon pe So letay...
Zehan ko afkar ankhon ko pani daay giya
Jatay jatay wo mujay unmit nishani day giya
Haqeeqat aashna mere...
Tujhy shayad khaber hoge
Mujhy teri muhabat ne
Bohat buzdil bana dala
Main har us shay se dartA hun
Tujhy jo cheen sakti hai..
Main un lamhon se darta hun
Judai jin main rahti hai
Main un ashkon se darta hun
Jo ban kar yaad bahtay hn
Main un lafzon se darta hon
Jo khamoshi main rahtay hn
Bicharney ki mere hum-dum
Main har surat se darta hun...
Tujhy shayad khaber ho gi
mujhy teri muhabat ne,
Bohat buzdil bana dala
Mohabbat Mein Lakhon Zakham Khaye Humne
Afsos Unhe Hum Par Aitbar Nahi
Mat Pucho Kya Gujarti Hai Dil Par
Jab Wo Kehte Hai Hamein Tumse Pyar Nahi
Manzilain un ko
mila karti hain
jin ka sheva ho
faraib...


Hum ne to
Daastaan-e
sadaaqat main
luta dee
zindagi apni..
Zakham Dene Ka Andaaz Kuch Aisa Hai
Zakham Dekar Poochte Hein Aub Haal Kesa Hai
Kisi Eik Se Kya Gila Karein "R.A khan"
Poore Zamaane Ka Mizaaj Eik Jesa Hai
Buhat Chup chup Se Rehtay Ho Na Bantay Ho,

Sanwartay Ho Na Koi baat Kertay Ho Bhari Mehfil Main Bhi Akser Humesha Khoye Rehtay Ho

Udassi Aankh Main Le Ker Her ik Chehray Ko Taktay Ho

Koi jab Yaad Ata Hai To Thundi Aah Bhartay Ho
To Khul Ker Kion Nahien
Kehtay Kisi Se Payar kertay ho

Kahien Dil Chorde Aye
Ho ??????????
kis ko qaatil main kahunn kis ko masiihaa samajhoon
sab yahaan dost hii baithe hain kise kyaa samajhoon

vo bhii kyaa din the kii har vaham yaqeen hotaa thaa
ab haqiiqat nazar aaye to use kyaa samajhoon

dil jo tootaa to kaii haath duaa ko uthe
aise maahaul main ab kis ko paraayaa samajhoon

zulm yeh hai kay hai yaqtaa terii begaanaaravii
lutf ye hai kay main ab tak tujhe apanaa samajhoon..
phool shabnam me doob jate hai
jakhm marham me doob jate hai
jab koi aasra na ho to
hum tere gum me doob jate hai
Her Su Raqabton Ka Dehekta Alao Tha
Uss Shehar-E-Dostan mein Ghazb Ka Tanao Tha
Phir Youn Hua K Uski Aana Usko Kha Giye
Werna Uss Aadmi mein Bara rekh rakhao Tha