Apki yad ne mujhe

Apki yad ne mujhe
Apki yad ne mujhe fir rula diya,

bahut khush ho ap zalim jisne hame ye sila diya.

Do shabd bhi likhna na ata tha hume,

or aaj apki mohabbat ne mujhe shayar bana diya.
  

Jun, 04 2010     175 chars (2 sms)     3504 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Sakoon e dill k liyye Ishq toh bahaana tha
Wagarna thak k kahin toh thehar hi jana tha
M o h a b b a t

Mohabbat Ek Shajar Hy

Aur Shajar Ko Is Sy Kia Matlab

K Is Ki Chhao''n Main Koi

Thaka Hara Musafir Aa k Betha Hy

Ab Is Ka Rung Kia Hy ?

Nasal Kia Hy ?

Kahan Sy Aaya Hy ?

Isay Kis Simt Jana Hy ?

Shajar Ka Kaam Tou Bas

Chhao''n Dena Aur Dhoop Sehna Hy ..
Aik din us nay mujsy pochha: kia mujhy bhol jao gay?
Main ny kaha...

Tum ny dehki nahi phoolon ki wafa??
Wo jis py khilty hain usi par murjha jaty hain.
Khirki, chand, kitab aur main,
Mudat se ik baab aur main,
Shab bhar khailen apas me,
Do ankhain ik khwab aur main,
Mouj aur kashti sahil per,
Dariya me gardaab aur main,
Sham, udaasi, khamoshi,
Kuch kanker talaab aur main,
Har shab pakrey jaty hen "
Gehri neend, tery khwab aur main....!!
Mohbbat mukadar hai 1 khwab nhi,
ye woh ada h ki sab jisme kamyab nhi.
jinhe panah mili unglio par ginlo unhe,
magar jinke katal hue unka koi hisaab nahi
Zindgi ki rahon mein hum ne sham kar de,

Dil ki her gali tere nam kar de,


Itne bhi na socha kasey katey gi zindgi,

Bus bina sochy hi hr khushi tere nam kar de.=->
Zikr-e-shab-e-firaq se wehshat usay bhi thi
Meri tarah kisi se muhabbat usay bhi thi

Mujh ko bhi shauq tha naye chehroon k deed ka
Rasta badal k chalne ki adat usay bhi thi

Us raat dair tak wo rahaa mahv-e-guftagu
Masruf main bhi kam tha faraaghat usay bhi thi

Sunata tha wo bhi sab se puraani kahaniya
Taza rafaqaton ki zarorat usay bhi thi

Mujh se bichhar ke sheher main ghul mil gaya wo shakhs
Halan k sheher bhar se raqabat usay bhi thi

Wo mujh se barh k zabt ka aadi tha, jee gaya
Warna har ek saans qayamat usay bhi thi

Asrar na jaan khud ko nakam k bad-zauq
Wo mana nahi par tujh se muhabat usay bhi t
NajAney kyUn AatEy hAin zindAgi mAin aisAy lOg,,,

Jinki yaAdein bAn jAti hAin zindAgi kA rOug. . .;-<
Pehlay Trasha Us Ne Kanch Se Mera Wajood....

Phir Shehar Bhar K Haath Mein Pathar Thama Diye . . .
ansoo palkon se choot jate hein,

jub sahare toot jate hein,,

kuch smajh mein nai ata,.

hum kehte b kuch nai!!

per log hum say rooth jate hein.
Hamein Pata Tha K Teri Muhabat K Jaam Mein Zehar hai Lekin.!

Tere Pilany Mein Khaloos itNa Tha k HuM Thukra Na Skay… !
BArA mAzA HO K mehshAr mAin hm krAin Gila


wo minton se rAhAin khuda k liye