Houslay Zindgi K Dekhtay

Houslay Zindgi K Dekhtay
Houslay Zindgi K Dekhtay Hain..

Chalo Kuch Roz Jee K Dekhtay Hain..

Barishon Say To Pyas Bujhti Nahin..

Aao Ab Zeher Pee K Dekhtay Hain.../
  

Jun, 07 2010     149 chars (1 sms)     2275 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Tum Pe Khatam Sari Chahat Ho Gi ..

Phir Na Kisi Pe Ye Inayat Ho Gi

Kuch Is Tarah Se Karein ge Yaad tum Ko

Na Tum ko Shikwa Hoga Na Zamanay Ko Shikayat Ho Gi
Mujahy zid nahi meray galay ka haar ho jao
Akela chor dena tum jahan day-zaar ho jao
Bohat jaldi samjha mein aany lagtay ho zamanay ki
Bohat aasan ho thoray dushwar ho jao
Mulaqaton mein wafa is liye hona zarori hai
K tum ek din judai k liye tayyar ho jao
Mein kisi chil chilati dhoop k sehra say aya hoon
Bas ab aisa karo tum saya-e-deewar ho jao
Tumharay pass denay k liye jhooti tasali ho
Na aye aisa din tum is qadar naadar ho jao
Tumhein maloom ho jaeyga kaisay runj sehtay hain
Meri itni dua hai k tum tanha funkaar ho jao
Ab Dekhty Hyn Hum
Dono Juda Kese Ho
Paye''n Gy

Tum Muqaddar Ka Likha
Kehty Ho, Hum Dua Ko
Aazmaye''n Gy ...
Mai ne seekha nai kitab0n se,
mai ne rabta rakha insan0n se,
kitna asan tha sawal krna,
ab jan jati hai jawabon se!
Ye Neend Ki Devi Bhi
Ajab Dushman-e-Jaan Hy

Aankho''n Sy Sada Duur
Rahey Raat Gaye Tak ... !!
Nikal aate hai aansoo rone se pehle...

Toot jate hai sare khwab sone se pehle...

Kehte hai k pyar ek saza hai...

Kash koi rokta mujhe pyar hone se pehle....
bohat kho chuka hon ab khony ki taqat nhi muj mein.

yeh jo kuch log mery hein unhein mera hi rahny do...
Kisi Din Lena Humari Khabar,

Kya Beet Rahi He Apke Bagair,

Chalte Hue Raho Me Rakna Nazar,

Kahi Apke Kadmo Me Na Ho Humari KABAR
hijr mujhay raas ana hi tha,
kisi tarha sahi usay bhulana hi tha!
wafa nibhany ki
jo Qeemat
mujy ada karna pari hai
us sy mujy
aisa lagta hai
jasy
mera wajooooooooood
kisi haqeer tinky ki tarah
ider uder
hawa ma
bikhar raha hai………!
Agar Talaash Karuun Koii Mil Hii Jaayegaa
Magar Tumhaarii Tarah Kaun Mujhe Chaahegaa

Tumhen Zaruur Koii Chaahaton Se Dekhegaa
Magar Vo Aankhen Hamaarii Kahaan Se Laayegaa

Naa Jaane Kab Tere Dil Par Naii Sii Dastak Ho
Makaan Khaalii Huaa Hai To Koii Aayegaa

Main Apanii Raah Men Diivaar Ban Ke Baithaa Huun
Agar Vo Aayaa To Kis Raaste Se Aayegaa

Tumhaare Saath Ye Mausam Farishton Jaisaa Hai
Tumhaare Baad Ye Mausam Bahut Sataayegaa
Aah december lout aaya hai...
Yakh basta thhithharti hui taweel raatein
Yaadoo''n ka aanchal aurh ker
Meray dil kay taqchon mein
Aashaao''n kay deep jalaati hein
Meray mann mein bajti ghantiyoun ney
Barff ki chaadar aurhi hai
Rooh pehlay sey khwaaboun per
Koher ka perda chhaya hai
Hijr ki lambi raato''n may
Chhat per tanha teheltey howey
Shaal ka kouna dhalak gaya hai
Balconey kay hairaan chaand per
Meray aansoo''n ka saaya hai
Aah december lout aaya hai