Mere Hum Safar Kisi Roz tu

Mere Hum Safar Kisi Roz tu
Mere Hum Safar Kisi Roz tu
mere paas a mere ru ba ru

kisi roz sun meri guftagu
meri chahato me base huye

mere ansuon se bhare huye
meri shab k lamhe shumaar kar

meri zindagi na azaab kar
woh lafz tere jo nayab hon

wohi lafz mere naam kar
mujhe leke tu kahin door chal

zara haath mera tham kar
mere hum saafr kisi roz tu

mere pas a mere ru ba ru
meri khawahishon ko umeed de

meri zindagi ko naveed de
  

May, 29 2010     428 chars (3 sms)     2715 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

hm to Aghaz-e-Muhabbat mein hi lut chukey faraz... Log kehtey hain k anjaam bura hota hai..
Main Teray Ishq ki inteha chahta hoon.


Meri sadgi dekh kiya chahta hoon.
"Har koi hamain pane ki zid mein hai"

"Shayad koi aazmane ki zid mein hai"

"jisse chahte hain hum itni shiddut sey"

"Woh hamain bhulane ki zid mein hai
mjbooriya''n kahen k isy saadgi kahen...

jis ne b hns k baat ki hum sath ho lye!!
Bus Is Khayal Se Aanso Chupa LiYe HumneY.









Udaas Reh Kr Kisi Ko Udaas Kia Rakhna
teray ird gird hain ghomtay,meri zindagi k mammley...

tujhey dhund lenay k shauq mein,mai ne apna aap ganwa dia.
Abhi is taraf na nigah ker main gazal ki palkain sanwar loon
Mera lafz lafz hai aeinah tujhey aeineu main utar-loon

Main tamam din ka thaka hoowa tu tamam shab ka jaga howa
Zara theher ja isi moor per tere saath sham guzar loon

Ager aasman ki numa-e-shoon main mujhay bhi izan-e-kayam ho
To main motioun ki dukan say tayri baleeyan tere haar loon

Kahain or bant day shohratain kahain or bakhsh day izatain
Mere paas hai mera aaenah main kabhi na gard-do-ghubar loon

Kai ajnabi teri rah main mere pass say yun guzar gaey
jinhain daikh ker yeh tarap huee ter a naam ley ke pookar loon
Mera Shaaur Behalta Nahien Hai Lafzon Se
Mein Tere Khatt K Nahin Tere Intizar Mein Hoon
Wo Mujhe Zindagi Samjhta Hai Faraz.....

Kya Use Mera Aitbar Nahi!
Umar bhar chaha k zameen_o_asman humara hota

Kash k khwahishon ka bhi koi kinara hota

yeh soch k usko meinay roka hee nahi

Dour jata hee kion agar wo humara hota
Mey apni Zaat chor aya hun,
Hijr ki raat choor aya hun.
Chala aya hun us ki mehfil sey,

Kuch Shikayaat choor aya hunn.
Ki teri Baat ki qadardani,
Mey apni baat choor aya hun.

Rukhsat ho ker mein fani dunya sey,
Sub kharafat choor aya hun.
Ek asasa thay yey mera

Dil kay jazbaat choor aya hun.
Wo meri Aankh ka spna he agr wo smjhe,

wo meri zaat ka hisa he agr wo smjhe,

Ho nhi skte juda phool se khushbo jaise,

Sath hmara bhi kuch aisa he agr wo samjhay.>