Bohat Ajeeb hain ye

Bohat Ajeeb hain ye
Bohat Ajeeb hain ye Bandishian Muhabbat ki...

Na uss ne Qead mein rakha...

Na hum Farar hue...
  

Jun, 01 2010     100 chars (1 sms)     2655 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Agar Safar main Hamara bhi hamsafar hota,
Bari khushi se in hi Pattharon pe So letay...
dard ke beez mere seene me laga gaye the tum,
apne ashqon se unko main seench raha hu,
shyad jo baat labon se kahna hi mumkin nahi hai,
aise jasbaat ke liye shabd doondh raha hu,
jinki mafi is jahan me mila nahi karti,
muddat se ek aisa gunha kar raha hu,
nadani bhi kaisi ye dile nadan kar raha hai,
ki jin nulkilon patthron ki raha se guzar aaya,
usi raha par kadmon ke nisan doondh raha hai,
zindgi ki is raha me zindgi kab milegi………,
har gujarte lamhe se bas yahi poonch rah hai
Ik Yehi Pehchan Kafi Hai Meri Pahchan K Liya..
Jo Rasta Aam Hojay Us Se Bacch Kar Chala Kartay Haiiin.
shded dhoop se samjhota kon karta hai..

ghane darakht hi sabka thakana hate hain
Chalo us Ka Nahi Khuda Ka Ehsaan Lete Hyn

Wo Minnat Se Nahi Mana Tou Mannat Maan Lete Hy
Khwab Aur Khwaish Main
Neend Bhar Ki Duuri Hai
Wasl Aur Judai Main
Aankh Bhar Ka Waqfa Hai
Hijr K Andhairo’n Ki
Chaand Bhar Tammana Hai
Zehan Aur Dil Main Bhi
Soch Bhar Judai Hai
Phir Bhi Aisa Hota Hai
Faaslay Mitaney Main
Umar Beet Jati Hai
Faaslay Nahi Mit’tey
Bhool kr B kanda na Daina meri mayat K0

kahiN Phir Zinda na ho JaoN Tera Sahara Samjh kr
Mo'azaz ban ke mehfil main adaakari nahi karta
Main chehre pe kabhi jhooti aayinaa taari nahi karta

Mera dushman mere dastoor se waaqif nahi shayad
Jisse main dost keh doon us se ghaddari nahi karta

Yahan behtar hai apni zaat ka hamdard ho jana
Zamana ghum to de sakta hai ghumkhari nahi karta

Mujhy mo'Qa shanasi ka hunar ayaa nahi ab tak
Jahan matlab nikaLta ho samajhdari nahi karta.........!!!!!!!!!!!!!
Muje manzilon se aziz hain teri rahguzar ki musafaten
K likhi hain mere naseeb men abi umar bhar ki musafaten

Isi ik pal ki talash men jise log kehte hain zindagi
Teri rah guzar men bikhar gayeen meri umar bhar ki musafaten...;>
Tere Firaaq Mein MuJh Pe Jo Saanhe Guzre.
Agar Wo Din Pe GuzerTey To RaaT Ho Jaati.~!
Ab To Kuch Na Hua Peeke Behek Jaane Se,
Baat Maikhane Ki Baher Gayi Maikhane Se,
Do Nigahoon Ka Jawani Mein Hai Aisa Milnaa
Jaise Deewane Ka Milnaa Kisi Deewane Se,
Dil Ki Ujdi Hui Halat Pe Na Jaaye Koi,
Saher Aabad Hue Hai Isi Veerane Se,
Daro Deewaro Pe Kabza Hai Udasi Ka Nazeer,
Ghar Mera Ghar Na Raha Unke Chale Jaane Se..
yehi taarey tumhaari aankh ki chilman mein rehtey thay
yehi sooraj nikalta tha tumhaarey baam se pehley


yay saarey rang murda thay tumhari shakl banney tak
yay saarey lafz mohmal thay tumhaarey naam se pehley