Teri Wafa Ko Humne Bhulaya Kab Tha
Din Judai Ka Dilse Mitaya Kab Tha
Wo Dil Laga Ker Bhool Jana Teri Aadat Thi
Humne Tere siwa Kisi aur ko chaha kab tha
Her Su Raqabton Ka Dehekta Alao Tha
Uss Shehar-E-Dostan mein Ghazb Ka Tanao Tha
Phir Youn Hua K Uski Aana Usko Kha Giye
Werna Uss Aadmi mein Bara rekh rakhao Tha
Chora Hai Mere Yaar Ne Mujhe Bhi
Is Ka Matlab Yeh Nahi Ke Hasna Chor Doon
Loota Hai Duniya Ne Mujhe Bhi
Is Ka Matlab Yeh Nahi Ke Jeena Chor Doon
Thukraya Hai Apnon Ne Mujhe Bhi
Is Ka Matlab Ye Nahi Ke Chahna Chor Doon
Teri Khawish Us Waqt Bahut Tarpati Hai
Sawan Me Koi Boond Jab Bikhar Jati Hai
Meri Ruh Bhi Tarapne Lagti Hai Us Pal
Jab Thandi Hawa Teri Gali Se Guzar Kar Aati Hai