Roe is qadar wo meri

Roe is qadar wo meri
Roe is qadar wo meri laash sa lipth ker faraz...

agar is bat ka pata hota to kab ka mar gaye hotay..
  

Jun, 02 2010     103 chars (1 sms)     3106 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Wo meri Aankh ka spna he agr wo smjhe,

wo meri zaat ka hisa he agr wo smjhe,

Ho nhi skte juda phool se khushbo jaise,

Sath hmara bhi kuch aisa he agr wo samjhay.>
Mere dukh kii koii davaa na karo
Mujh ko mujh se abhii judaa na karo

Naakhudaa ko khudaa kahaa hai to phir
Duub jaao, khudaa khudaa na karo

Ye sikhaayaa hai dostii ne hamen
Dost banakar kabhii wafaa na karo

Ishq hai ishq, ye mazaak nahiin
Chand lamhon men faisalaa na karo

Ashiqii ho ya bandagii ''Sameer''
Be-dilli se to ibatidaa na karo
zindagi mein sada haste raho,
hasna zindagi ki zarurat hai,
zindagi jiyo toh iss andaz mein,
ki tumhe dekhkar sabko lage ..
zindagi kitni khoobsurat hai!
Mohobbat hum b ker lain gay
Ye Ghalti tum b ker layna
Chalo tumhi se ker lain gay
kisi say tum b ker layna
tumhain hum Doost kahtay hain ,To Nadir Mashwara denge,
Mohobbat tum nay kerni hey.
! Suno Hume se ker layna ...!
Sirf Main Hi Thaam
Sako''n Haath Us Ka

Mujh Par Itni Inayat
Si Ker De

Wo Reh Na Paye Ek Pal
Bhi Mere Bina

Ae Khuda Tu Us Ko Meri
Aadat Si Kerde ...
Aaj Barsoon K Bad Dekhaa Hai
Ab Bhi Aankhon Ka Rang Gehra Hai
Aur Chehre Ki Sanwali Si Lakeer
Dil Main Kitne Diye Jalaati Hai
Teri Qaamat K Saye Ki Khushboo
Guftugoo Main Bahaar Kaa Mosum
Be Sabab Aitbar Ka Mousum
Kion Mujhe Sare Dhang Yad Rahe
Kitni Heraan Ho Gai Khud Per
Main Tujhe Aaaj Tuk Nahin Bhooli
Pichle Mosum Ki Yaad Baqi Hai
Log apna bana kar chor date hain
rishta gharo se jor laite hain
Hum to ik phool bhi nahi toor sake
Log to dil bhi toor date hain
Milta Tha Mujh S Wo Kabhi Pal Pal K Farq Se
Phir Rafta Rafta Faq Ye Saalo’n Main Aa Gaya
Phir Yun Hua Aankh Se Aansoo Nikal Paray
Chehra Kabhi Jo Us Ka Khyalo’n Main Aa Gaya
Vo kehta Hy Mujhe Phoolon §e Piyar Hai
Lakin Jab Phool khilte Hain To Vo Unhain Tor Deta Hai
Vo kehta Hai Mujhe ßarishon §e Piyar Hai
Lakin Jab ßarish Hoti Hai To Vo Kamre Mai ßand Ho Jata Hai
Vo kehta Hai Mujhe Hawaon §e Piyar Hai
lakin Jab Hawain Çhalti Hain To Wo khirkiyan ßand kar Deta Hai
Aur Us Waqt Mujhe Darr §a Laga

Jab

Us Ne kaha . . .

"Mujhe Tum §e Piyar Hai"
Tinko s bane pal, pal se bane lamhe,
Aur lamho ne waqt ko buna,
Har pal koi kissi ke saath nahi reh sakta,
Iss liye khuda ne yaadon ko chuna.
Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujh Ko
Apni Nazron Mein Basa Kar Na Giraana Mujh Ko

Tumko Aankho Mein Tasavur Ki Tarah Rakhta Hoon
Dil Mein Dadhkan ki Tarah Tum bhi Basana Mujh Ko

Baat Karnay Mein jo Mushkil ho Tumhay Mehfil Mein
Main Samajh Jaaonga Nazron Say Bataana Mujh Ko

Vaada Utna Hi Karo Jitna Nibha Saktay Ho
Khawab Poora jo na ho woh na Dikhana Mujh Ko

Apnay Rishtay ki Nazaakat ka Bharam Rakh Lena
Main to Aashiq Hoon Deewana na Banana Mujh Ko
Dhoonda karogay Ek Roz Mere Khaloos ko Aey Dost....



So Jaonga Kisi Roz Main Zameen Oorh Kar.