Hasntey Huway Chehrey

Hasntey Huway Chehrey
Hasntey Huway Chehrey Hain Yahan Sub K,
Derd Yun Chupanay Walay Tanha Tum He Nahi
  

Jun, 05 2010     82 chars (1 sms)     2012 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Lagta Hay kai Raaton se Jaaga Tha MUSAVIR






Tasveer Ki Ankhon Se Thakan Jhank Rahe Hai
"Kal Raat Sapny Me Teri Tasweer Bna Dali,

Itni Achi Lgi K Seeny Se Lga Dali,

Kisi Ki Nazr Na Lagy Mery Yaar Ko,

Is Liye Aansu''on Se Khud He Mita Dali"...!
Agar hum door ho jayen

kahin dunia mein kho jayen

btao kya kro gay tum?

Hamain dhondo gy ya Phir bhol jao gay?

Humain awaz dogay?
ya,ksi guzri kahani mein hmara naam likh do gay?
Chalo aisa hi karna tm
Badal jana,
hamy tm bhol hi jana
Mgr itni guzarish hy
Hmara zikar jab aye
zra sa yad kar lena!
main dhoop dhoop musafat main jis k sath raha"mohsin"

zara si chaon main us ne bhula diya hy mujhy...

HAPPY UNMARRIED LIFE
A famous writer said"Love is like a long sweet dream" and Marriage is an alarm clock..
"so have sweet dreams till ur alarm wakes u up."
HAPPY UNMARRIED LIFE
Tere Hoonto pe kaanpti surkhi,
Tere Ankhon main boolta kajal,
Tere saanso ki narm narm Sadda,
Raat khaamosh Aur main Tanha.
Kiss qadar door hon zamany se,
Tere yaadon ke is sannaty main,
Mere wehshat ke pass Husssan Tera,
Raat khaamosh Aur main Tanha
Tanha Samjh raha hai mere DiL K0 Chara Gar

dunia basi hy is main kisi k khayal ki
kuchh beete hue lamho se mulakat hui kuchh tute hue sapno se baat hui yaad jo karne baithe un tamam yado ko to apki hi yaado se shuruat hui
Jin Ki Dehleez Se wabasta Ho zindagi !!
Kaise Mumkin Hai Un Se juda Hona !!
Wo Lakh Murawat Se kaam Lain Phir Bhi !!
Ye Dil Nahi Manta Un Se Khafa Hona !
kaat kar zuban meri keh raha tha woh FARAZ.........

ab tumhe ijazat hai haal-e-dil sunanay ki
Badla jo Waqt, Gehri Rafaqat Badal Gai.

Suraj Dhala To Saaye ki Soorat Badal Gai.

Ik Umr Tak main Uski Zaroorat Bana raha.

Phir yun Hua k Uski Zaroorat Badal Gai..
Yun he ranjishoun main guzar gayi
kabhi wo khafa kabhi main khafa,
usi mor k har mor pe,
kabhi wo ruka
kabhi mai ruka
wohi raastay,wohi ham safar,
na use khabar na mujhe pata
apni apni anaa mai gum
kabhi wo khuda
kabhi main khuda.......!!!