merey dil mein ik

merey dil mein ik
merey dil mein ik sawal hai, kya urooj hai kya zawal hai, Jo mein pust hoon to hai meri khata, Jo buland hoon to Ya Rub tera kamal hai
  

Jun, 02 2010     135 chars (1 sms)     2101 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Thak Gayi Aankhe Tumhare Intzaar Me,
Ek Call Bhi Naa Aaya Tumhara,
Aankhe Boli Bas Bhi Karo Intzaar,
Ab Iss Duniya Nahi Koi Nahi Hai Tumhara…
hai dua yaad magar harf e dua yaad nahi
mere nagmaat ko andaz e nawa yaad nahi

hum ne jin k liye rahoun main bichaya tha lahoo
hum se kehte hain wohi eehd e wafa yaad nahi

zindagi jabar e musalsal ki tarhan kati hai
jane kis jurm ki pai hai saza yaad nahi

main ne palkoun se dar e yaar par dastak dii haii
main woh sahil hoon jisse koi sada yaaad nahi

kaise bhar aayein sar e shaam kisssi ki aankhein
kaise thari chiragoun ki zia yaad nahi

sirf dhundle sitaroun ki chamak deeekhi hai
kab howa kon howa mujh se khafa yaad nahi..

aaoo ek sajda karein alam e madhoshi main
loggg kehte hain SAGAR ko khuda yaad nahi......
Aansu aankhon se girnay ka takaza na karo,
Ru''Ba''Ru un k mujhe itna bhi ruswa na karo,
Zakhm sehnay ki sakat bhi nahi ab to dil mei,
Dard barhta hai mujhe pyar se dekha na karo,

Charah sazo ye mera dard nahi qismat hai,
Jhuti taskeen se mere gham ka madawa na karo,

Pyar to de na sakay yadain hi dete jao,
Chornay wale mujhe itna bhi tanha na karo,

Nazah k waqt "SaaMer" to na lo naam unka,
Aakhri waqt mei to pyar ko ruswa na karo.
Jo kahta tha ik pahar hon main hila b na pao ge mujhko

Zamane ne aaj usko meti sa bana diya
Kisi ne door se dekha koi qareeb aaya
Ameer shehar main jab bi koi ghareeb aaya

Hawa main zehar gola paniyon main aag lagi
Tumhare bad zamana bara ajeeb aaya
muhabbat khud batatee hai kahan kis ka thikana hai
kisay ankhon mein rakhna hai kisay dil mein basana hai

riha karna hai kis ko aur kisay zanjeer karna hai
mitana hai kisay dil say kisay tehreer karna hai

ghironda kab girana hai kahan tameer karna hai
issay maloom hota hai safar dushwaar kitna hai

kisi ki chashm-e-giriya meain chupa iqrar kitna hai
shajar jo girnay wala hai woh saaya daar kitna hai

safar ki har saobat aur tamazat yaad rakhti hai
jissay saraay bhula dalain muhabbat yaad rakhti hai
Yaadeein Teri Rakh Di Hai Sambhal Kar
Dur Kahi Is Dil Se Nikal Kar

Sab Kuch To Vapas Le Liya Hai Aapne Dur Jaa Kar
In Yaadon Ko Bhi Le Jana Kisi Roz Aakar
gam tu is ka hai k wo ahad e wafa toot gaya...

bewafa koi bhi ho,tum na sahi,hum na sahi...
Bherkaain Meri Pyaas Ko Aksar Teri Aankhain
Sehraa Meraa Chehraa Hay Samundar Teri Aankhain
Phir Kon Bhalaa Daad-E-Tabassum Inhain De Gaa
Royengi Bohat Mujhse Bicher Ker Teri Aankhain
Unko Dekhte Hain To Aa Jati Hai Chehre Pe ronaq...

Wo Ye Samajhte Hain K Bemaar Ka Haal Achha Hai....
ye teri judai ka gham nhi,ye silsaley tou hain roz k,

teri zaat iska sabab nhi,kaei din se yunhi udas hoon,
chahre ka nisf hissa zer-e-naqaab kar k...

karte hain husan waley deedar mein milaawat!