Ham ko maloom hai kaya dast e hinaie de ga

Ham ko maloom hai kaya dast e hinaie de ga
Ham ko maloom hai kaya dast e hinaie de ga
qurb boyen ge to fasl e judaie de ga
aankh neelam ki jism kaanch ka dil pather ka
apny shaahkar ko kon itni safaie de ga
  

Oct, 04 2011     163 chars (2 sms)     3558 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Tanhaai me kabhi aaine se baatein kar lete hai
Teri tasveer aankhon me dekhke jee bhar lete hai

Kuch pal hi sahi, mehboob ki baahon me jo guzarte hai
Har ik saans me hum jaise sadiyaan jee lete hai

Tere deedaar ko nigaahein jo taras jaati hai
Ashq-e-ishq peekar to pyaas bujha lete hai

Dekhte hai duniya juda kaise hume kar paati hai
Aaj hi gar umr bharka pyaar tumhe kar lete hai...!!!!
Maza Barsaat Ka Chaho To In Aankhon Main Aa Betho


Woh Berson Main Kabhi Bersey Yeh Berson Sey Barasti Hain
main ne kaha k mujhy chor do ya tor do...

wo be-wafa hans k boli:

itnay naayaab khilonay roz kahan milty hain...
PYAAR MITTA NAHI,

MITANE KE KABIL BANA DETA HAI.

PYAAR MARTA NAHI,

MARNE KE KABIL BANA DAETA HAI.

DIL DE KAR JANTE HAI LOG EK BAAT JO PURANI HAI

KAHTE JISKO ISHQ WO ZEHER KA PAANI HAI.
Raat sunti rhi mai sunati rhi,

Dard ki dastaan mai batati rhi,

Log,logoon se chahat nibhatay rahay,

Ik wo tha,jo maira dil jalata raha.
Pyar ki khamosh surat ho tum,

Kaise kahun kitne aache ho tum,

Zamane ke liye kya ho men nahi jaanti,

Lekin meri har saans ki zarurat ho tum...;->
Ek hi zakhm Nahi sara Badan zakhmi Hai







Dard Hairan Hai ke Uthun To kahan sE uthun
tum ne hamain ek diye ki manend samjha sagar

rat gahri howi to jala diya subha howi to bujha diya..
Mera Piyar Bhi Mera Hi Mazak Ban Gaya
Loogon Ki Nazroo Main Ye Tamasha Ban Gaya

Mana K Kya Hai Jurum Maine Piyar Kar K
Par Dosro Ne Kya Piyar To Jeene Ki Waja Ban Gaya
Wafa ruswa nahi karna Suno aisa nahi krna

Main pehlay he akela hon, Mujhy tanha nahi krna

Judai b jo aa jai, Tu dil chota nahi krna

Buhat musrof ho jana Mujhy socha nahi krna

Barosa b zarori hai Magar sab ka nahi krna

Muqadar phir muqadar hai, Kabi daawa nahi krna

Jo likha hai wahi ho ga Kbhi shikwa nahi krna

Meri takmeel tum se hai Mujhay adha nahi karna

Haqeeqat hai milan apna, Isay spna nai krna

Hamain tum yad rehtay ho, Hamen bhoola nahi krna
Kabhi Aansoo kabhi khushboo kabhi naghma ban ker

Hum sey har shaam mili hai tera chehra ban ker

Meri jaagi hoi raaton ko usi ki hai talaash

Soo raha hai meri Aankhon mai jo sapna ban ker

Hum sey har shaam mili hai tera chehra ban ker

Kabhi aansoo kabhi khushboo kabhi naghma ban ker

Raat bhi agar aye tu bhujti nahi chehrey ki chamak

Rooh mai phail gya hai wo ujala ban ker

Dhoop mai wo khoo gya hath chorwa ker Raheel

Ghar sey jo sath chala tha mera saaya ban ker

Hum sey har shaam mili hai tera chehra ban ker
December jab b lot''ta hai,
Mere Khamosh Kamre Mein,
Mere bister pe bikhri Hui Kitabian Bheg jati hain_!i!